Diya SMS Messages534 messages

Mein sochta hoon kuch uss se kahon
koi baat mohabat, ulfat ki
koi baat sunehrey khwaboun ki
koi baat ke jis k harf harf se
be-naam si khushbu poothi ho
phir sochta hon kya hasil hai
gar uss ko sab kuch keh bhi Diya
ye lafz be-kaar jayengey
mai sochta hoon aik geet likoon
unn komal pyare hathon par
uss phoolon waley aanchal par
jisey audh ke wo ek pari lage
kabhi sochta hoon koi nazam kahoon
bas jis main uss ki baatain hon
un gehri gehri aankhon par
jin aankhuon main kai sadiyon k
kai qissay hain, afsanay hain
phir aksar yun bhi sochta hoon
main kuch na kahoon ye behtar hai
har zakhm chupa kar seenay main
bas dukh hii sahoon ye behtar hai
jab unko aitbaar nahi hai
jahan lafz yaqeen se khali hon
wahan chup hii rahon ye behter hai.
YE JO ZINDAGI KI KITAAB HAY
YE KITAAB BI KIA KITAAB HAY
KAHIN IK HASEEN KHWAAB HAY
KAHIN JAAN LEWA AZAAB HAY

KAHIN AANSWOON KI HAY DASTAAN
KAHIN MUSKURAHTOON KA BAYAN
KAIEE CHEHRAY IS MAIN CHUPYAY HOWAY
IK AJEEB SA NAKAAB HAY

KAHIN KHOO Diya KAHIN PAA LIYA
KAHIN ROO LIYA KAHIN GAA LIYA
KAHIN CHEEN LETI HAY HAR KHUSHI
KAHIN MEHRABAAN BEHESAAB HAY

KAHIN CHAOON HAY KAHIN DOOP HAY
KAHIN AUR HI KOI ROOP HAY
KAHIN BARKATOON KI HAIN BARISHAY
KAHIN TESHNAGII BEHESAAB HAY
lakh caha karun izhar - e - tamanna lekin
aake honton pe hi alfaaz ne dumm tor Diya
paoon to utthe kaii bar tumhari janib
saath himmat ne magar raah mein hi chor Diya
Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,
khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai.
Ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,
taki door kar saken andhere ka gham.
Tej andhi ne shama ka vajood
usi andhere me dubo Diya hai.
Pyar nhi likha tha kismat me
to usne pyar kyu karwa Diya.
Shayad tadpte hue dekhna chahte the wo kisi ko,
jiske liye usne hume mohra bana Diya.
Yea Hii Wada Liya Tha Na
Hamesha Khush Hi Rena Hai
To Dekhoo.....Dekh Loo Aaa Kar
Mairy Ankhoo Ko Dekhoo Tum
Yea Kitni Shokh Lagti Hain
Mairy Hontoo Ko Dekhoo Tum
Hameesha Muskratey Hain
Koi Bhi Gham Aghar Aya
Ussy Hans Kar Saha Main Ney
Mairy Cherey Ko Dekhoo Tum
Hamesha Purskoon Hoo Ga
Tum Sochoo Gay
Kiya Tha Main Ney Jo Tum Say
Woo Wada Kar Diya Poora
Magar Aik Baat Hai Sanam
Kabhi Joo Waqat Mil Jayee
To Mairy Shairey Parna
Tumain Mehsoos To Ho Ga
Kehain Talkhi Bhara Lehja
Kehain Pey Sard Sa Lehja
Kehain Pey Dard Ki Jheelay
Kehain Leajhy Ki Karwahat
Snooo...............
Main Khush To Hoo Lekan
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Lahoo Har Lafz Roota Hai
Samahet kho chuka tha kiya usay sada daitay
Yahi bohat tha kay yah wakaea bhula daitay

Humaray ikhtiyar main hota gar yah sanam
Tairay khatoot kiya tasweer b jala daitay

Na dushmni b saleekay say ho saki tum sy
Diya tha aas ka ik bar hi bujha daitay

Yahi bohat hy k khud ko sambhaal kr rakha
Hum unko mil b jo jatay to woh ganwa daitay

Jo apni zaat me dhoka aor faraib thy CHANDA
Woh humain kaisay wafa ka koi sila daitay
khushnuma lamhon ko kaise ghrahan laga Diya tumne
khilkhilaati masarton ko kaise tanha bana Diya tumne
tumhe to sab kuch tha pata kya kuchh hain hone waala
kuchh na bataya raaz apna benoor chhod Diya tumne
hum to laaye the jalti mashalon ki lou dhundkar
kar daala andhera mashalon ko bujha Diya tumne
mousam ki tarah rang badalte rahe tum baar baar
jab bhi jaanna chaha chehra laga Diya tumne
tumhara har gunaah chhupa liya dost bankar
kahe kise humhari vafa ka achha sila Diya tumne
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch
dil se nikli hoee honton me dabee baat na pooch

wo kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarhan meinay sambhaly mere jazbaat na pooch

waqat jo badlay to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaa na pooch

wo kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar na hoe
kis tarhan usnay churaya hai mujh se haath na pooch

Is tarhan pal mein mujhay begana kar Diya usnay
Kis tarhan apno se khaee hai maen nay maat na pooch

ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat na pooch
Ek haseen khwaab tha ki hakeekat kaise jaanon main,
Apni saanson mein teri khushboo ab tak pehchanoon main.

Tum is tarah mujhme samaayi thi ki jaise koi faasla na raha,
Sone do thodi der aur ab khud ko kyun aaj ab jagaoon main.

Kuch lamhe kaise beet gaye ehsaas na hua,
Apne badan se alag tujhe kyun pehchanoon main.

Teri zulfen mujhse aaj bhi lipat ke yun sawaal karti hain,
Tumhare paas bhi jawaab na hoga ye ab jaanoon main.

Kyun is tarah tumne mujhe jaane Diya ye gawaara nahin mujhe,
Chupa ke rakh leti mujhe agar, tab teri diwaanagi ka kaha maanoon main.

Koi khushnaseeb pal yun guzra tha mujhe choo kar aise,
Ek ehsaas apni dhadkan mein aaj tak behta janoon main.
jab ghata koi toot kar barse
dil mera tere lams ko tarse

phir tera naam shaam tanhaii
sehmi sehmi hai dhadkane phir darr se

haal andaar ka bass khuda jane
kitna roshan hai Diya bahar se
rukhsat huwa to ankh mila kar be nahi gaya
wo kyun gaya ye bata kar be nahi gaya

wo yon gaya kay bada-e-saba yaad aagai
ahsas tak be hum ko dila kar nahi gaya

ghar main hay aj tak wohi khusbo basi hoi
lagta hay kay jasay wo aa kar hi nahi gaya

rehnay Diya na us nay kisi kam ka mujy
our khak mian be muj ko mila kar nahigaya