Barson k baad Dekah

Barson k baad Dekah
Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa

Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa

Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa

Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa

Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa

Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di,
Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
  

Jun, 05 2010     621 chars (4 sms)     2822 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

uski qurbat main hai kia baat na jane ay mohsin.

ek lamhy k liye sadyon ko bhula deta hai..
bhanp jaye na kahen dil ki lagi ye dunia..

yun shafaq ban k mare chahre pe tehra na karo..
Bhulakar to dekho ek baar hume,

Zindagi ki har adaa tumse rooth jayegi.

jab bhi sochoge apno ke baare mein,

tumhe hamari yaad zaroor ayegi.
Duniya Main Dost Kam Milenge
Is Duniya Main Gham Hi Gham Milenge
Jahan Dunya Nazar Pher Legi Us Moor Per
Dost Tumein HUM MILENGE.
meri Deewangi par is Cadar hairaan Hotay ho..!!






mera Nuqsaan To Dekho; "Mohabbat Gumshuda Meri"..!!
tum aao to sahi
ahlay dard ki mahfil may
palkay main apni bichaoo ga
bayshuk!
maray gahr kay bahir
patahr hai kahksha nahi
lakin!
kahas taray liay
main
dil ki galioo main
chahat kay phool pichaoo ga
tum aao to sahi
yeh rakh rakhao muhabt sikha gayi hai use..

kah wo roth k bhi mujh se muskura k milta hai..
Ji tu kerta hai ussay muft mai jan de don mohsin...
Itnay masoom kharedar say kia lena dena...
yeh dekha hai maine azma ker...
dhoka dete hain logye akser qareeb aker...
kehti hai dunya yeh baat mujhe se...
ke tum bhe choor doge kese ko apna bana ker...
main kehta hoon dunya se...
jo insan khud he na ashna ho lafze piyar se...
ise choorega kon in tanha bheroon ki rahoon main...
Tum Ko Azeez Jan Se Pyara Bana Liya..
Dil Ka Sukon Aankh Ka tara Bana Liya..
Ab Tum Wafa Karo Ya Na Karo Ye Tumhara Zarf..
Humne Tu Tumhe Zindagi Ka Sahara Bana Liya..
Meray dard ki kahani meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kaisey meray doston sey poocho,

Jo khuda tha meray dil ka,mera dil usi ney tora,
Yeh ghamo ki sarhadon par mujhey kis ney la chora,

Ussey mein ney kitna chaha dharkano sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho,

Yeh saza meray naseeb ney dee meri aashiqui ki,
Diya jis ko dil ussi ney meray dil sey dillagi ki,

Mein kahan kahan jala hoon meri hasraton sey poocho,
Mein luta hoon kis tarah meray doston sey poocho.
Manna K Hamari Zaat Main Buhat Aieeb Hain Magar..!!

Biktey Nahin Khuda ki Qasam Hum Ba Zameer Log..!!