Chup SMS Messages459 messages

Woh Aankh Chupke Say Yon DIL K Bied Keh Jaye
K Jaise Baat Koi Yaad Aa k Reh Jaye
Na Woh Haseen Na Mein KHub Ro Magar Ik Saata
Hamein Jo Dhek Le WOh Dhekta hi Reh Jaye
Woh Aankh Chupke Say Yon DIL K Bied Keh Jaye
K Jaise Baat Koi Yaad Aa k Reh Jaye
Na Woh Haseen Na Mein KHub Ro Magar Ik Saata
Hamein Jo Dhek Le WOh Dhekta hi Reh Jaye
batata hai mujhe aiyna kesey berukhi se
ke mein mehroom hota ja raha hoon roshni se

kisey ilzaam doon mein raigaan honey ka apney
ke sarey fesley mein ne kiye khud hi khushi se

har ik lamha rehti hai taza aik shikaiyat
kabi tujh se kabi khud se kabi iss zindagi se

mujhe ab tak bahot khawaish thi khud se guftagu ki
mein Chupta phir raha hoon ajj apney app hi se

jo chahe wo sitam mujh par rawa rakhey ye duniya
mujhe yun be tawaqo ab nhin kuch be kissi se!!!
ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

kya hua ger merey yaaron ki zabaanein Chup hain
mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye
log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
Nazar Milaakai Kabhi Muskura kai loot liya
Us Bevafa ne Mughe Muh Chupaa kai loot liya.

Qarib Ah Kai Kabhi Door jakai loot liya
Fareb say Kabhi Mugh ko bataa kai loot liya.

Yoo Tou Dil Chehrah Dikha Kai loota jata hai
Hamein Tou us ne magar sir jhuka kai loot liya.

Shikvah ye nahin ke loot liya kisee ne hamein
Malal ye ke sata sata kai loot liya.

Qasam Khuda Ki, NAAZ,unki bandage kar loo
Agar kisi ne hamein paas ah kai loot liya.
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha
Hasntey Huway Chehrey Hain Yahan Sub K,
Derd Yun Chupanay Walay Tanha Tum He Nahi
najaney kyoon guzrey zamaney yaad atey hein
kyoon ye puraney zakham phir mujhe statey hein

har chehrey mein Chupa hai chehra un ka
nazar milaney se hum issi liye katratey hein

kub hoti hai rahat dil ko iss tarah se
ke tera naam le kar hum kissi aur ko bulatey hein

yoon toh roney ko umar de gaya wo
lekin gham oss ke sehney se hum kub ghabratey hein

ghar se be ghar kiya tha jin logoon ne humein
suna hai phir mujhe wapas bulatey hein

apney naseeb mein hai aik baar wisaal un ka
mere naseeb issi liye tujhe baar baar azmatey hein

in ankhoon ko nhin ab naseeb unein dekhna
kya karein wo mere khwaboon mein aa jatey hein!!
wafa ke wadey wo sarey bhoola gaya Chup chaap
wo mere dil ki dewaarein hila gaya Chup chaap

gham_e_hayat ke taptey houey biyabaan mein
humein chor ke wo tanha chala gaya Chup chaap

na janey kon sa wo badnaseeb lamha tha
jo gham ki agg mein mujh ko jala gaya Chup chaap

mein jiss ko choota hoon wo zakham deta hai
wo phool aesey chaman mein khila gaya Chup chaap!!
khuab aankhon sey ab koi chura ker ley jaye
qaber k sookhey huye phool utha ler ley jaye

muntazir phool mein khushbu ki tarah hun kab say
koi jhonkay ki tarah aaye urha ker ley jaye

ye bhi pani hai mager aankh ka aisa pani
jo hatheli sey rachi mehndi churha ker ley jaye

main muhabbat sey mahakta hua khat hun mujh ko
zindagi apni kitaabon mein Chupa ker ley jaye

khaak insaaf hai,nabeena butoon key aagey
raat thaali mein charaaghon ko sajaa ker ley jaye

un say kehna k mein paidel nahi aaney wala
koi baadal mujhay kaandhey peh bitha ker ley jaye
jab seena gham se bojhal ho or yaad kisi ki aati ho

tab kamre main band ho jana or Chupke Chupke ro lena

jab ankhein baghi ho jayen or yaad main teri bhar ayen

phir khud ko dhoka mat dena or Chupke Chupke ro lena

jab palken karb se moondi hon or sab samjhen tum soy ho

tab moon pe takiya rakh lena or Chupke Chupke ro lena

ye duniya zalim duniya hai ye bat bohat phelaye gi

tum samne sab k Chup rehna or Chupke Chupke ro lena

jab barish chehra dho dale or ashk bhi bonde lag ti hoon

wo lamha hargis mat khona or Chupke Chupke ro lena
kub kon kissi ka hota hai
sub jhote rishte natay hain
sub dil rakhne ki baten hain
sub assli roop Chupate hain
ikhlas se khali log yehaan
lafzoon k teer chalate hain
ik baar nighahoon main akar
fir sari umr rulatey hain