Chup SMS Messages459 messages

Chup rehkar hum mit chale,
or kho gaye tumhari rasili baaton me,
ab to din bhi hume raat nazar aati hai,
jab kho jate hai hum teri kali zulfon me.
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE Chup RAHETE HAIN
HUM SE APNE RUTH NA JAYE IS LIYE Chup RAHETE HAIN

MERI SOORAT DEKHNE WALON MAIN BHI EK AAYENA THA
TOOTA JAB YEH SHEESH-E-DIL SAWAN KA MAHINA THA

TUKRE DIL K KIS KO DIKHAYEN IS LIYE Chup RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE Chup RAHETE HAIN

AAJ KHUSHI KI IS MEHFIL MAIN APNA G BHAR AAYEA HAI
GHAM KI KOI BAAT NAHI HAI HUMEN KHUSHI NE RULAYEA HAI

AANKH SE AANSO BAHE NA JAYEN IS LIYE Chup RAHETE HAIN
HUMSE APNAY RUTH NA JAYEN IS LIYE Chup RAHETE HAIN

PYAR K PHOOL CHUNAY THAY HUMNE KHUSHI K SEJ SAJANE KO
PAT JHAR BAN KAR AAYI BAHAAREN GHAR MAIN AAG LAGANE KO

AAG MAIN GHAM KI JAL NA JAYEN IS LIYE Chup RAHETE HAIN
KAUN SUNEGA KIS KO SUNAYEN IS LIYE Chup RAHETE HAI
Asman ko need aaye to kahna sulaau kahan Dharti ko maut aaye to dafnao
kahan Sagar mein lehar aaye to Chupao kahan Jab teri yaad aye to jau
kahan!!!
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
Eay Subah main ab kaha raha hon?Khawabon main hi surf ho chuka hon.Kya hai jo badal gai hai dunia.Mina bhi to bohat badal gya hon.Main jurm ka eatraaf ker k kuch aour hai jo Chupa gya hon.main aur faqt ussi ki khawahish ekhlaaq main jhoot bolta hon.Roya hon to apney doston main. Par tujsay to huns ker hi mila hon...Eay shakhs...!Main teri justajoo say bezaar nahin hon. Thak gya hooooon.
Dolat-e-Dard Ko Dunya SE Chupa Ker Rakhna

Aankh Main Boond Na Ho Dil Main Darya Rakhna
Jab Seenay K Ander
Saans k darya doltey hain
Jab sard hawa main mausam
Chup si gholty hain
Jub aansu palkai''n roltey hain
Jab sab awaizai''n apne apne bister par so jati hain
Tub ahesta ahesta ankhai''n kholtey hain

DUKH BOLTEY HAIN
HAAN!!
DUKH BOLTEY HAIN. . .
Is Saadgi Pe Kon Na Mar Jaye Ae KHUDa

Waar Karte Hain Aur Haath Main Talwar Bhi Nahi

Chup Chup K Humara Deedar Karte Hain Wo

Aur Poocho Tou Kehte Hain K Pyar Bhi Nahi. .
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chuppaey Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
Taraash ke mere baazoo uraan chorh gaya
Hawa ke pass burahna kaman chorh gaya

Rafaqaton ka meri usko dhyan kitna tha
Zameen leli mager aasman chorh gaya

Ajeeb shakhs tha barish ka rung dekh ke bhi
Khule dareeche pe ik phool daan chorh gaya

Jo baadlon se bhi mujhko Chupaye rakhta tha
Barhi hai dhoop tou be-sayeban chorh gaya

Nikal gaya kahien andekhe panion ki taraf
Zameen ke naam khula baadban chorh gaya

Uqaab ko thi garz faakhta pakarne se
Jo girr gayi tou yunhi neem jaan chorh gaya

Najane konsa aaseb dil mein basta hai
Ke jo bhi thehra woh makan chorh gaya

Aqab mein gehra samnder rahe saamne jungle
Kiss inteha pe mera meherban chorh gaya--
BHULAYA NA JAA SAKA

Palkon pe aanso“on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka

zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka

jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso“on ko Chupaya na jaa saka

kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka

bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka

woh muskuraha tha mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se Chupaya na jaa saka

tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.