Chup SMS Messages459 messages

............BHULAYA NA JAA SAKA............
Palkon pe aanso''on ko sajaya na jaa saka../
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka../
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera../
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka../
jab teri yaad aayi to koshish ke bawajood../
aankhon main aanso''on ko Chupaya na jaa saka../
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain../
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka../
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho../
hum se to haal-e-gum bhi sunaya na jaa saka../
woh muskura raha tha mere ru-ba-ru magar../
chehre ka rang us se Chupaya na jaa saka../
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye../
magar faasla ana ka mitaya na jaa saka../
Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley
Mera pyar jal raha hai aey chand aaj Chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley
Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley
AISAY HE KISEE AIK LAMHAY MEN,
ChupKE SAY KABHI KHAMOSHI MEN
KUCH PHOOL ACHANAK KHIL JAHEN,
KUCH BETAY LAMHE YAAD AAHEN
TAB YAAD TUMHARI AATEE HAY ...
JAB CHANDNI DIL KAY AANGAN MEN,
KUCH KAHENE MUJH SAY AA JAHE
IK KHWABEDAA SE CHOTE KOI,
EHSAAS PAY MERE CHAA JAHE
JAB ZULF PARISHAAN CHEHRAY PER,
KUCH AUR PARISHAAN HO JAHE
KUCH DARD BHI DIL MEIN HONE LAGE,
AUR SAANS BHI BOJHAL HO JAHE
AISAY HE KISEE AIK LAMHAY MEN,
ChupKAY SAY KABHI KHAMOSHI MEN
KUCH PHOOL ACHANAK KHIL JAHEN,
KUCH BETAY LAMHE YAAD AAHEN
RAIT PER LIKH KER MERA NAAM MITAYA NA KARO

AANKHEIN SUCH BOOLTI HAIN PYAAR ChupAYA NA KARO

LOOG HER BAAT KA AFSANA BANA LETEY HAIN

SUB KO HALAT KI RUDAD SUNAYA NA KARO

YEH ZAROORI NAHIN HER SHAKS MASEHA HI HO

PYAAR KEY ZAKHAM AMANAT HAIN DIKHAYA NA KARO

SHEHRE-Y-EHSAS MEIN PATHRAO BUHAT HAIN "WaFa"

DIL KO SHESHE KEY JHAROONKOON MEIN SAJAYA NA KARO
Jab sina ghum se bojhel hu, aur yaad kisi ki atti ho
Tab kamry main band ho jana aur Chupky Chupky roo lyna
Jab ankhain baghi ho jain ,aur yaad main meri bher aain
Phir khud ko duhka mat dyna aur Chupky Chupky roo lyna
Jab palkain karb se mundi hon, aur sab samjain tum soty ho
Tab moh per takiya rahk lyna aur Chupky Chupky roo lyna
Ya duniya zalim duniya hai, ya baat bohat pihlaiy gi
Tum samny sab k Chup rahna aur Chupky Chupky roo lyna
Jab barish chahra dooh daly, aur ashak bhi bundain lagty hon
Woh lamha hargiz mat kohna aur Chupky Chupky roo lyna.
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Mujey apnay ap main rahnay do,
En logon sy ab dar lagta hai,
Na kisi bat main mera dil lagta hai,
Mujhey yad main us ki kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Main ro ro kr jab gir jaoon,
Mujhey Chup na krao sahnay do,
Mujhey khud sy baghi rahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do,
Ay Raat bta mera chand mila?
Koi tujh pay bhi ilzaam laga?
Mujhey raat ko raat hi kahnay do,
Mujhey tanha tanha rahnay do............
Mujhey tanha tanha rahnay do........
mujh se mat pooch kyun aankhen jhookali maine
teri tasveer thi jo tujh se Chupali maine
mere muqaddar main jo likha tha ke tu mere naseeb main nahi
apne mathe ki woh tehreer mitaali maine
zindagi main yahan har kisi ko sacha pyar kahan milta hai
kisi ki wafaanon par likhi ek nazm uthali maine
gheri rehti hain din raat teri yaadein
in yaadon ke sahare zindagi saajali maine
jin ke sheron ko sun kar bahut roya karta tha
bas wohi ek baat sab se Chupali maine
Kisi Ke yadon ne pagal bana rakha hai
kahin mar na jao kafan sila rakha ha
dafnane se pehle dil nikal lena
kahin wo na dafan hojaye
jisy dil main Chupa rakha ha
Na tujh ko chor saktay hain,tere ho bhi nahin saktay....
Yeh kaisi be basi hai aj hum ro bhi nahin saktay.....
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaiy rakhta hai....
Tumhari yaad aati hai to hum so bhi nahin saktay.....
Dikha saktay hain,na he hum Chupa saktay hain logoon se....
Kuch aisay daag hain dil k jo hum dho bhi nahin saktay....
Kaha tha chor dein ge yeh nagar,phir ruk gaiy laikin.....
Tumhain pa to nahin saktay,magar,Kho bhi nahin saktay....
“Fiza mein mehekthi shaam ho tum,
Pyar mein jhalaktha jaam ho tum,
Tumhe dil mein Chupayee phirte hain
Aai dost meri zindagi ka dusra naam ho tum
Roz kisika intezaar hota he,
roz ye dilbekarar hota he,
kaash ke koi samaj pata,
ki Chup rehne walo ko bhi kisise behat pyar hota hai........
Na zindagi mili na wafa mili
Najany kyou hum say har khushi khaf mili
Jhuti muskan liye apnay ghum Chupatay rahay
Sachi mohabbat karnay ki bhi kia khoob saza mili