Na tujh ko chor saktay

Na tujh ko chor saktay
Na tujh ko chor saktay hain,tere ho bhi nahin saktay....
Yeh kaisi be basi hai aj hum ro bhi nahin saktay.....
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaiy rakhta hai....
Tumhari yaad aati hai to hum so bhi nahin saktay.....
Dikha saktay hain,na he hum chupa saktay hain logoon se....
Kuch aisay daag hain dil k jo hum dho bhi nahin saktay....
Kaha tha chor dein ge yeh nagar,phir ruk gaiy laikin.....
Tumhain pa to nahin saktay,magar,Kho bhi nahin saktay....
  

Jun, 05 2010     464 chars (3 sms)     3211 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Vo bulian to kya tamasha ho
Ham na jaian to kya tamasha ho
Ye kinaroo sy khailny waly
Doob jaian to kya tamasha ho
Baho me lelo mujhko ki tanha hu mai,dhadkan me basalo mujhko ki tanha hu mai,tum nai to jahan me kuch hi nahi,mujh me samaa jao k tanha hu mai
bahane bahane ye kambkhat khuwaish tikaane banati hai di main..

dabe paaon aa kar muhabat ki shazish bari khak urati hai dil main..
Usay kehna usay hum yad kartay hayn,Diyey jeb shaam ki dehleez pe jalaye jatay hayn,Sitaray aasman pe jeb timtimatay haynShabnam k aanso se phool jeb nahatay hayn,Hum us dem apni aankhon mayn usay abad kartay hayn,Usay kehna usay hem teb yad kartay hay.
Main Hoon Aur Afsurdagi ki Aarzu "Ghalib" k Dil
Dekh Ker Tarz-e-Tapaak-e-Ahl-e-Dunya Jall Gaya
Wo Silsily Wo ShoQ Wo Qurbat Nhi rhi.

Phir Yun Hua K Dard Me Shidat Nhi Rhi,

Apni zindgi mai Hogya Masrof Wo Boht,

Or Hum Ko Yad Krny Ki Fursat Nhi Rhi..

Kisi k liye ab ye aankhen num na karenge,

woh chale v jaye to gum na karenge,

ho gayi khata kisi ko jaan se zyada chahne ki,

ab ye khata dubara hum na karenge.
Na To Gham ki DhooP Jala SaQi,Yeh To mosam ka Asar Hova.


Wohi mera WAFA ka He Phool Tha,jo Abi Tk hY Khila Hova.
Apny Buss Main Kar Laity Ho.
/
Uff Kitna Be-Bus Kar Daity Ho..
Ek khoobsoorat dhokha hai ishq yaaro,
Hai har mohobbat ek jhoot yaaro,
Jitni khoobsoorat ho sajan utni gehri hai wo bewafaai yaaro,
Na yakin ho, to mere mehboob ki tasveer hi dekhlo yaaro..."
Monjmind Khoon Mein Hulchal Kar Dey
Muj Ko Cho Aur Mukamil Kar Dey

Kitni Piyasi Hai Ye Banjar Ankhein
Aber Zadey Inhein Jal Thal Kar Dey

Main Ney Wo Dard Chupa Rakha Hai
Jo Tery Husan Ko Pagal Kar Dey

Ya Mujy Wasal Aata Kar Malik
Ya Mera Hijer Mukamil Kar Dey
Jo dard k Sehra mein akela b bohat hai
Uske liye Dewar ka say ab bohat hai
Dekha nahi tum ne usko tanhai mein
Bichry huy logon ko wo roya b bohat hai
Kuch tujhko wafa pe Yakeen Na Tha
Kuch Dukh meri taqdeer mein likha bohat hai