ye kooche ye neelaam_ghar
dil_kashii ke
ye luTate hue kaarawaaN
zindagii ke
kahaaN hai kahaaN hai
muhaafiz Khudii ke sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai ye pur_peNch galiyaaN ye
beKhwaab baazaar
ye gum_naam raahii ye sikkoN
kii jhankaar
ye ismat ke saude ye saudoN
pe t
Akaraar sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai ta'ffun se pur_neem roshan ye
galiyaaN
ye masalii hu_ii adh khulii zard
kaliyaaN
ye bikatii hu_ii khokalii rang-
raliyaaN sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai zaraa mulk ke rahbaroN ko
bulaao
ye galiyaaN ye kooche ye
manzar dikhaao
sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq ko laao
sanaa Khwaan-e-taqdii s-e- mashriq kahaaN hai