Tere SMS Messages861 messages

Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
Kitne Aziyat Say Uss Nay Mujh Ko Bhulaya Ho ga.
Mere Yadoon Nay Ussay Khub Rulaya Ho Ga.
Baat Be-Baat Aankh Uss Ki Jo Chalki Hoo Gi.
Uss Nay Chahray Ko Bazuoon Main Chupaya Ho Ga
Soocha Hoo Ga Uss Nay Din Main Kaye Baar Mujhy.
Naam Hathele Par Bhe Likh Likh Kay Mitaya Ho Ga.
Jahan Us Nay Mera Ziker Suna Hoo Ga Kisi Say
Uss Ki Aankhoon Main Koe Aansoo Tu Aya Hoo Ga.
Raat Kay Bhegnay Tak Neind Na Aye Ho gi Tujhy.
Tuu Nay Takeye Ko Bhe Senay Say Lagaya Ho ga.
Hoo Kay Nidhal mere Yadoon Say Tuu Nay Jana.
Mere Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Hoo Ga.
Poocha Hoo Ga Jo Kisi Nay Tere Halat Ka Sabab.
Tuu Nay Batoon Main Khub Us Say Chupaya Ho Ga.
Aainda maat anna tum kabhi bhi yaad mujhye
Tere yadoon nye ker diya bar-baad mujhye

Na duniyta ke sitaam Na qismat ki badnasibi
Kuch nahi teri muhabbat ke siwa yaad mujhye

Atte hain nazar har taraf wiranye hi wiranye
Dikhai nahi deta SHARIM koi ghar ABAD mujhye
Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya Tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to karte honge,
mera sms padh k yaad to karte honge.
Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab Tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.
kya khabar thi wo humien daagh_e_judai deingey
hum zamaney mein shab_e_gham ki duhai deingey

pehley tum apni wafaoon ko koi rang toh doh
khud naye rastey ankhoon ko dikhai deingey

apne andar ke gali kuchoon se guzro aik din
Tere kanoon ke shor sunai deingey

hum badal deingey baharoon ke puraney andaaz
perhan ab ke har aik gull ko hinai deingey

apney mazi ko na dekhiengey palat kar
gham ki zanjeer se iss dil ko rehai deingey!!
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
mein nhin khud ke liye hoon mein zamaney ke liye
khud ko zakham de de kar auroon ko hasaney ke liye

hum ne kya kya na kiya Tere chaley janey ke baad
tujeh hi yaad kiya tujh ko bhulaney ke liye

ye khiza ye andhere ye viraney sa safar
hum toh nikley the kahin aur hi janey ke liye

ayina dekh ke heraan sa ho jata hoon
khud ko hi bhool gaya app ko paney ke liye

yun raqeeboon se hans hans ke kyun miltey ho
teri berukhi hi bahot hti dil ko jalaney ke liye

ye jo chalakta hai ankhoon se ise pani na kaho
ye toh moti hai mere pya rko sajaney ke liye!!
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein Tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
muttafaavatein hein merey Khuda ki ye tu nahi koi aur hai
ki tou asamaan pey ho tuo ho pisar-e-zami koi aur hai

woh jo raastey thay wafa ke thay yeh jo manzilein hein saza ki hein
mera humsafar koi aur tha mera humnashi koi aur hai

mere jism-o-jaaN mein Terey siwa aur koi bhi dusara
mujhe phir bhi lagta hai ess tarah k kahi kahi koi aur hai

mei aaseer apane gazal ka mein faqir dasht-e-wisaal ka
jo hiren ko baaNdh ke le gayaa wo subuk_tagin koi aur hai
kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu Tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
Tum ko Maloom B Shayad Ye Kabi Ho K Na Ho


Meri Raatein. Teri Yaadon se saji rehti hain
Meri Saansein Teri Khushbo mai basi rehti hain

Meri Aankhon mai Tera Sapna saja rehta hai
Haan Mere Dil mi Tera hi Aks basa rehta hai

Is tarah Mere Dil ke boht Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-e-Rag ke Khuda rehta hai

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!

Mere Aangan mai lage phool gawahi deinge
Mai ne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi

Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa.. kisi aur ko socha bhi nahi

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!