Tere SMS Messages861 messages

apne hoontoon pe sajaana chaahta hoon
aa tujhe main gungunaana chaahta hoon


koi aansoo Tere daman par gira kar
boond ko mooti banaaana chaahta hoon

thak gaya main karte karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chaahta hoon

chaa raha hai saari basti main andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
jab ghata koi toot kar barse
dil mera Tere lams ko tarse

phir tera naam shaam tanhaii
sehmi sehmi hai dhadkane phir darr se

haal andaar ka bass khuda jane
kitna roshan hai diya bahar se
Wo lamhe hame yaad na rahe to kya hoga,
Tere siya kuch bhi aabad na rahe to kya hoga,
Aise hai ye dil ki majburiya kaise batoo,
In saanso me ab tera naam na rahe to kya hoga.
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai Tere aankhon ne ... warna ae saaqi Tere mah khane mien rakha kye hai.... dehk laila Tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye surahi sa badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....
Muhabat Ka Irada Ab Badal Jana Bhi Mushkil Hai

Tumen Khona Bhi Mushkil Hai Tumen Pana Bhi Mushkil Hai

Udasi Tere Chehre Ki Gawara Bhi Nahi Lakin

Teri Khatir Sitare Tor Kar Lana Bhi Mushkil Hai

Zara Si Bat Par Ankhen Bhigo Kar Baith Jatey Ho

Tumen To Apne Dil Ka Hal Batlana Bhi Mushkil Hai..
Zindgi ki rahon mein hum ne sham kar de,

Dil ki her gali Tere nam kar de,


Itne bhi na socha kasey katey gi zindgi,

Bus bina sochy hi hr khushi Tere nam kar de.=->
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii aankhon main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
Tere wajood ko mehka de jo Tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur Tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager Tere sang zindagii guzaar doon........!
Tere sabhi ghamon ko samait loon tujhe itna pyar doon ,,,
teri udasion ko mita ke teri her shaam nikhaar doon

terii aankhon main chhupi khizan mere dil pe aser kar gaee
Tere wajood ko mehka de jo Tere labon ko vo bahaar doon

terii ik muskurahat ka badal kuch ho nahi sakta mager
jo milay tujhe khushi ager main apni jaan bhi waar doon

aagaya hai jo hijir ka daur Tere mere dermiyan
jo milain mujhe fursatain yeh waqt ka qarz utaar doon

tunhaiyon ke tufaan se jo bikher gae hain sabhi
jo kahay tu ager aa teri her zulf ko sanwaar doon

meri ik nigah bhi hai terii ik nazer ki muntazir
jo karay tu nazer idher tujhe duain beshumaar doon

na dhan se,daulat se na duniya se koi wasta mera
chale jo bas ager Tere sang zindagii guzaar doon........!
Kuch khone ko ji chahta hai

Aaj rone ko ji chahta hai

Jagte mein sab dekh liya yaro

Ab sone ko ji chahta hai

Teri aankh mein apna aks dekh ker

Kajal honey ko ji chahta hai

Chandni dekh ker humein bhi

Chand hone ko ji chahta hai

Subah se bohat hass liya ke

Aankh bhigone ko ji chahta hai

Wo bohat pyara hai magar ab

Juda hone ko ji chahta hai

Tere Dagh-e-Dil dekh ker Jaana!! Apne

Dagh dhone ko ji chahta hai
Tere Naam ki thi jo Roshni usey khud tu ne bujha diya
Jissko jala saki thi na Dhoop usey chandni ne jala diya

Main ho gardishon ka maara howa mujhey ab apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha mera rehnuma usey Rastoo main ganwaa diya

Jiss ko samjha tha to ne raqeeb,woh tera naseeb tha
Tere haath ki lakeer tha,usey to ne haath se hi mita diya

Mujhey ishq hai ke junoon, yeh faisla kabhi na ho saka
Mera naam zeenat-e-dasht tha,isey aandhiyon ne mita diya

Yeh udasiyoon ka jamal hai ke tumhara ivj-e-kamal hai
Ke kabhi zaat se bi chupa liya to kabhi shehar bhar ko suna diya

Mere omar ka gulistan abhi khula howa hai zaroor par
Wo jo phool thay Tere chah ke unko mosamoo ne gira diya
Abhi is taraf na nigah ker main gazal ki palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai aeinah tujhey aeineu main utar-loon

Main tamam din ka thaka hoowa tu tamam shab ka jaga howa
Zara theher ja isi moor per Tere saath sham guzar loon

Ager aasman ki numa-e-shoon main mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main motioun ki dukan say tayri baleeyan Tere haar loon

Kahain or bant day shohratain kahain or bakhsh day izatain
Mere paas hai mera aaenah main kabhi na gard-do-ghubar loon

Kai ajnabi teri rah main mere pass say yun guzar gaey
jinhain daikh ker yeh tarap huee ter a naam ley ke pookar loon
In palko ko Tere didar ki pyaas hai,

Tu dur nhi paas hai.

Ruke ruke ye pal najane kyo udas hai,

Tujpe toh bahut per khudpe nhi vishwas hai.

Kaisa ye ehsas hai.