Tere SMS Messages861 messages

Dil ki chokhat pe jo deya jala rakha hai,

Tere anay ka imkan saja rakha hai.

Ruth jati ho to kuch or hasen lagti ho,

Hum ne ye soch k hi tumko aapna bana rakha hai
Tu mera naam na poocha kar,
main teri zaat ka hissa hun,
main teri rooh main shamil hun,
main teri neend ka qissa hun,
main Tere khuwab ka hasil hun,
main teri yaad ka mehvar hun,
main teri saans ka jhonka hun,
tu manzar main pas-manzar hun,
main lamha hun,main jazba hun,
jazbay ka koi nam nahi,
tu mera naam na poocha kar!!
Main lafzon mai kuch bhi izhar nahi karta
iska matlab ye nahi k main tujhe pyar nahi karta

chahata hoon main tujhe aaj bhi par
teri soch mei apna waqt bekar nahi karta

tamasha naa ban jaaye kahi mohabbat meri
isi liye apne dard ko namoodaar nahi karta

jo kuch mila hai usi mei khush hoon main
Tere liye khuda se taqraar nahi karta

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta
Tamam umar zindagi se door rahe,

Teri khushi ke liye apni khushi se door rahe.

Ab is se barh kar wafa ki saza kya hogi,

Keh Tere ho kar bhi tujhse door rahe.
Jhotha tha tera pyar,
par phir bhi tujhse nafrat nahin kar sake,
isse beebasi hi khaenge ki hum tujhe baulane ka natak bhi na kar sake,
yeh nahin kahenge ki teri yaad mein rote rahein,
afsoos to iss baat ka hain ki Tere jhote pyar ko yaad kar ke hi hum muskurate rahe!
Dua ka toota hua harf sard aah mein hai
Teri judayi ka manzar abhi nigah mein hai

Tere badalne ke bawajood tujhko chaha hai
Yeh aitraaf bhi shamil mere gunah mein hai

Azaab dega toh phir mujhko khwab bhi dega
Mein mutmaeen hoon mera dil teri panah mein hai

Jise bahar ke mehman khali chodh gaye
Wo ek makan abhi tak makiin ki chah mein hai

Mein bach bhi jaoon toh tanhayi maar daalegi
Mera qabile ka har fard, Qatl gaah mein hai....
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Aagosh Main K Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe ek Raat Nawaz De K Us k baad Seher Na Ho

Wo Bara Raheem-O-Kareem Hai, Mujhe Sift Ye Ataa Kare
Tujhe Bhoolne Ki Dua Karoon Aur Meri Dua Main asar Na ho

Kabhi Din Ki Dhoop Main Jhoom K Kabhi Shab K Phool Choom K
Yunhi Saath Saath Chalain Sada, Kabhi Khatam Apna Safar Na ho

Mere Paas Mere Mehboob ZAra Aur Dil K Qareeb Aa
Tujhe Dharkano''n Main basa Loon k Bicherne Ka Kabhi Darr na Ho

Kabhi Yun Milain Koi Maslihat Koi Khauf Dil Main Zara Na ho
Mujhe Apni Khabbar Na Ho Tujhe Apna Koi Pata Na ho

Tere Ikhtiyaar Main Kia Nahi, Mujhe Is Terha Nawaaz De
Yun Duaain Meri qubool Hoon k Mere Lab Pe Koi Dua Na Ho
Ak Chand Tanhaa Khila Raha meray Aasman Se Zara Parey
Meray Saath Saath Safar Main Tha Meri Manzilon Se Zara Pary

Teri Justuju k Hisaar Say Tere Khawab, Tere Khayal Se
Mai woh Shakhs tha Jo Khara Raha Teri Chahtoun Se Zara Parey

Kabhi Dil ki Baat Kahi Na thi, Jo Kahi Wo Bhi Dabi Dabi
Mere Lafz Puray to Thay magar, Teri Sama''atoun Se Zara Parey

Tu Chala Gaya meray Humsafar Zara Dekh Murr kay Ek Nazar
Meri Kashtian hain Jali Houe Teray Sahilon Se Zara Parey
Apne honton per sajana chahta hon
Aa tujhey main gungunana chahta hon

Koi ansoo Tere daman per gira ker
Boond ko moty banana chahta hon

Thuk gaya main kerte kerte yad tujhko
Ab tujhey main yad aanaa chahta hon

akhri hichki Tere zaano pe aaye
maut bhi main sha''erana chahta hon

Rah gayi kuch kami ruswaiyon main
Phr QATEEL us durr pe jana chahta hon
Dewana hai Tere naam ke is baat sa inkar nahin kasa kaha humha aap sa pyar nahin kuch tu kasoor aap ki adaa ka ha hum aakla tu gunhegar nahin
Kya kya Tere Naam likhon. . .?

"DIL" likhoon k "JAAN" likhoon?

Aansu chura k Teri Pyari Aankhon se. . . !


Apni har Khushi Tere Naam Likhoon
terii khushii se agar Gam meN bhii khushii na huii
voh zindagii to muhabbat kii zindagii na huii

koii baDhe na baDhe ham to jaan dete haiN
phair asii chashm-e-tavajjoh kabhii huii na huii

tamaam harf-o-hikaayat tamaam diida-o-dil
is ehtemaam pe bhii sharaH-e-aashiqii na huii

sabaa yah un se hamaaraa payaam kah denaa
gaye ho jab se yahaaN subah-o-shaam hii na huii

idhar se bhii hai sivaa kuchh udhar kii majbuurii
ki hamne aah to kii unse aah bhii na huii

khayaal-e-yaar salaamat tujhe khudaa rakhe
Tere baGair kabhii ghar meN roshnii na huii

gaye the ham bhii Jigar jalva-gaah-e-jaanaN meN
voh puuchhte hii rahe hamse baat hii na huii