kuu-ba-kuu phail

kuu-ba-kuu phail
kuu-ba-kuu phail gaii baat shanaasaaii kii
us ne Khushbuu kii tarah merii paziiraaii kii

kaise keh doun k mujhe chhor diyaa hai us ne
baat to sach hai magar baat hai rusvaaii kii

vo kahiin bhii gayaa lautaa to mere paas aayaa
bas yahii baat hai achchhii mere harajaaii kii

teraa pahaluu tere dil kii tarah aabaad rahe
tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaaii kii

us ne jalatii huii peshaanii pe jo haath rakhaa
ruuh tak aa gaii taasiir masiihaaii kii
  

Jun, 05 2010     471 chars (3 sms)     3750 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tum aao na aao hum to bulayengey,
tum bhula do hum na bhula payengey,
tumhe haq hai bhula do humari dosti ko,
humne dosti ki hai her hal mey nibhayengey..
Tu is qadar mujy apny qareeb lagta hy
Tujhy alag souchon to ajeeb lagta hy
Ye dosti Ye chahatain Ye Mohabat Sb kia hn
tu to mujy mera naseeb lagta hy.
uski berukhi ne cheen li hain sharatain meri"

"log samajhty hain main sudhar gaya hon!!!
khushi mili to kai Dard rooth Gaye mujh se


Dua karo k main phir se udaas ho jaon
tere khoobsoorat aankhon mein aansoo achche nahin lagte
chaahe jitnaa bhi roye but kabhi sachche nahin lagte
Maat roko iss behte dard ko,
Saza hai ye kisi ke intzar ki,

Keh lo inhe ashk ya diwangi,
Ye to nishani hai kisi ke pyaar ki.
Main teraa na hua haqeeqat me
ek fasaana magar chaahunga
jhooth hi kehde ke tu meri hai
taa-umr meri jee jaaunga.
Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
main muntazir hoon barish ka, fasl-e-bahar say pehlay,
main muntazir hoon phoolon ka, rahon main khaar say pehlay.

haan us k wastay sooli, pe char gaya tha main laikin,
maktal main sang utha paya, koi na yaar say pehlay
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.
MUJHE YAKEEN HAY WOH BHI KABHI CHAIN SEY SOYA NAHEY HOGA,





JISE YEH ZID THI K HAR HAAL MEI JUDA HOGA,
Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha aankhon me paani, aur kya detay