teray ird gird hain ghomtay,

teray ird gird hain ghomtay,
teray ird gird hain ghomtay,meri zindagi k mammley...

tujhey dhund lenay k shauq mein,mai ne apna aap ganwa dia.
  

Jun, 01 2010     116 chars (1 sms)     2393 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ek kaanch sa khwaab tha,

toot gaya..

main jaan gaya,

tum meray nehi..

par jaana bhi to kis pal main!

jab aas ki pyaas nay,

shidat k sub sehra jungle paar kiye...!!!
burhi ho jati h kuch or tasal'lifarhat
dard ho jata h kuch or jawan sham ke bad
Mere Zakhmo Ko Aapka Dukhana Acha Laga,
Meri Halat Pe Aapka Muskurana Acha Laga,
Me To Talib Tha Aap k Pyar Ka,
Aapka Nafrat Se Nigahen Churana Acha Laga,
Laga K Aag Mere Aashyane Ko,
Phir Aapka Khushian Manana Acha Laga,
Dil Me Thi Hasrat Aap K Deedar Ki,
Saamne Aakar Chehra Chupana Acha Laga,
Dil K Mere Darwaze Pe Di Dastak,
Phir Khud Hi Aapka Pathar Barsana Acha Laga,
Bana Kar Mujhko Apna Dewana Phir,
Aap Ka Khud Hi Thokar Lagana Acha Laga . .
Takdeer k hum staaye gaye hain,

Pyaar mein har taraf se thukraaye gaye hain.

Aaj hum gum k musaafir hain,

Magar aise hum the nahi banaaye gaye hain.
Mohbbat mukadar hai 1 khwab nhi,
ye woh ada h ki sab jisme kamyab nhi.
jinhe panah mili unglio par ginlo unhe,
magar jinke katal hue unka koi hisaab nahi
Kisi khas ko nazarandaz kiya nhi jata,

jinhe bhul nhi skte unhe yaad kiya nhi jata.

Ye yaadein to sahil hai un lamho ki,

Jin lamho ko dobara jiya nhi jata.
Wo Shakhs Mujhay Ik Pal Mein He Chor Gya Faraz
Jo Shakhs Ik Pal Bhi Nahi Rehta Tha Merey Baghair
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do....
Zehar daitay hain aur kahtay hain k lena ho ga,
jab main le loon to kehtay hain k peena ho ga!
jab main pee loon to kehtay hain martay kiun nahi?
jab main mar jaon to kehtay hain jeena hoo ga!
dis shair is nt mine
Kitne sadiyan guzre o Rabba

Wo nahi aayi wo Na hi aayi

Us ke bin kitni tanha rahi mai

Tanhaiyoun mein mitt ta gaya mai

Kitne sadiyan us ke intezaar mein guzaare

Per Wo nahi aayi wo nahi aayi
Tanha Chor Kar Humko Hosla Bhi Detay Ho
Sans Cheen Kar Jeenay Ki Dua Bhi Detay Ho
Ik Taraf Judai Ka Tazkira Bhi Jaari Hai
Oar Muskuranay Ka Mashwara Bhi Detay Ho
main janta ho nhi likha khuda ne tujhe meri taqdeer mai.

main to namazo mai sirf apni duwaoo ko azmata hoon.