Magar yeh ho na saka aur ab yeh alam hai
K tu nahi tera ghum teri justaju bhi nahi
Guzar
Rahi hai kuch es tarah say zindagi jaisay
Zamanay bhar k dukhon ko laga chukka hoon galay
Guzar raha hoon kuch anjani rahgawaron say
Muhayab saye meri simat bhartay atay hain
Hayat-o-maut k par hol kharzaron say
Na koi jada manzil na roshni ka charag
Bhatak
Rahi hai khalaon mein zindagi meri
Enheen khalaon mein reh jaoo ga kabhi kho kar
Mein janta hoon meri ham-nafas magar youn hee
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai