Rahi SMS Messages411 messages

Zindagi bhar zindagi ki saza milti Rahi,
Lamha lamha wafaaon ki jaza milti Rahi.
Cherh kar jata raha har baar zakhmon ko mere,
Gham ke sholon ko yun hi hawaa milti Rahi.
Meri nazron ne hai bakhsha husn ko farogh,
Uske har aaza ko ik adaa milti Rahi.
Faasla badta gaya jitna gaya uske qareeb,
Khushk patton ko jaise hawaa milti Rahi.
Paththron ki gird takrata raha ''Rahat'' ka wajood,
Sukhan goi ka sadaa nayee sadaa milti Rahi.
Khud se bekhabar ho ke jiye ja Rahi hoo
mujh ko mujh se millane ka shukriya
mera jism se aati hai khushboo
khud se bekhabar milane ka shukriya
dil hi dil main karti thi pyar tumse
mujh ko tumse milane ka shukriya
Khud se bekhbar ho ke jiye ja Rahi hoo
mujh ko mujh se milane ka shukriya
Tum Ne Kaha Tha Bade Yaqeen K Sath
Mujh Per Bharosa Karo
Bilkul Es Tarah
Jase Apny Ap Per Ho
Aur Main Ne
Dheerey Se Hans Ker Pucha Tha
Itna Yaqeen Kion?
Tab Tum Ne Meri Ankhon Main
Jhank Ker Kaha Tha
"Main Tumahri Manzil Ka
Sang E Meel Hoon"
Aur
Mian Tab Se Ab Tak
Jaty Qadmoon Ki Dhool Main
Es Sang e Meel Ko Talash Ker Rahi Hoon
Jo Tumahre Yaqeen Ki
Andhar Nagri Main Kaheen Kho Gia ha
HAI YEA ISHQ ITNA RULATA HAI SATATA HAI
FER BHI SABHE KO BHATA HAI
AIE KHUDA KISIKO ISHQ NA HOYE YEA DUA KARTA HU
KUE K MAIN BHI KISI K LEYE AB BHI ROTA HU

KOI PUCHE
KOI POCHE KYA HUA US HASEN SI LADKI KON HAI
OR MAIN KAHLI GUzRE LAMHO KO HI YAAD KARTA RAHETA HU
WOH BHI TO SAYAD TADAP Rahi HOGI
ROTI BHI HAI SAYAD LEKIN BARES MEIN KISIKO KANOKAN KHABAR NA HOGI
Tum lautay ho aaj...

To kaii bay-naam aa''nsu...

Apni shanaakht bhool gaey hai''n...

Mujh say bichharr rahay hai''n...

K mujh may koi sakat nahee''n...

Ab rauknay ki in ko...

Pooray jisam ka shaur kuch thham sa gaya hay...

Karb may mubtelaa mairi her saa''ns...

Kuch sukoon ki aahai''n bhar Rahi hay...

Janaa''n tum aaj lautay ho...

To pal may kitna kuch badal gaya hay...

Ab rooth k phir na jaana...

K ab aa''nsuo''n ko bhi manaana parrta hay...!
Kaise wo laut aaye k fursat ussey nahi
Dunya samajh Rahi hai mohabbat ussey nahi

Lagta hai aa chuki hai kami uss ki chah main
Kaafi dino''n se mujh se shikayat ussey nahi

Dil ki zameen us ki hai banjar issi liye
Jazbo''n ki barishon ki jo aadat ussey nahi

Har cheez ikhtiar main rakhta hai wo magar
Dil se rihayi paney pe qudrat ussey nahi..!

Zindagi! ab tou ta''aluq ki ye hi surat hai
Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
yun miley k mulaqat ho na saki

hont kanpe par baat ho na saki

meri har nigah dastan keh gayi

unko shikayat Rahi ki baat ho na saki
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh Rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti Rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
Kisey Pukarain Hum Is Hujoom-e-Gham Main
K Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain

Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain

Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
K Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain

Hum Karain Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
K Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain

Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain

Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
K Zamane Bhar Se Thukrai Hue Ha
Apne aaghaz se ajj tak zindagi teri
Hi yaad mein gum Rahi...
Phir bhi jaane kyu ye ehsaas hai
Jaise chahat meri kam Rahi!
Rudaad-e-muhabbat kya kahiye kuch yaad Rahi kuch bhool gaye
do din ki musarrat kya kahiye kuch yaad Rahi kuch bhool gaye


jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mehfil mein
wo hosh ki sa''at kya kahiye kuch yaad Rahi kuch bhool gaye


ehsaas ke maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qandilein
aalam ki shiddat kya kahiye kuch yaad Rahi kuch bhool gaye


ab apni haqiqat bhi "Sagar" berabt kahani lagati hai
dunya ki haqiqat kya kahiye kuch yaad Rahi kuch bhool gaye.................