Rahi SMS Messages411 messages

teri yadoon ke bina koi lamha guzara nhin
ik pal nhin jub tumein hum ne pukara nhin

meri nakamiyun ka itna be gham na ki jiye
agar app jeetey hein toh mein hara nhin

ye naqsh_e_dard kesey utara jayein chehrey se
mein ne abi app ka gham dil se utara nhin

tere bin yoon kat Rahi darya_e_zindagi mein
kashti be hai maaji be hai kinara nhin

kar rakha hai jiss ne sarey ghar mein ujala
ansoo hein mera ye koi toota houa tara nhin

kiss ko galey laga ke royein namuraad hum
iss bhari duniya mein apna koi sahara nhin

mareez_e_ishq hai tamanai khudkushi ka ab
gehrey hein dil ke zakham aur koi chara nhin!
Chalo ye raat ham ik dosre ke naam karte hain,
Chalo ik dosre ke aj ham dukh dard sunte hain,
Bhatakte ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamtan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehte ho hazaron dard sehte ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor sunte hain,
Chalo acha yon karte hain,
Suno tum ham sunate hain,
Ham apne dil ke har ik zakhm se parda uthate hain,
Dikhate hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti jaRahi hay zindagi MEHTAB,
Tarapte hain sulagte hain magar khamosh rehte hain,
andhari rahoon k is safar mai
k jis k unwan hai zindagi
bohut se doshwar marhalain hain
Ghamoon k tareek silsilay han
Dukhoon se chalne har khoshi hai
bohut he mushkill hai humdam kuch aesay rastoon par tanha chalna
magar jo mujha ko cala Rahi hai
tumhari yadoon ki roshni hai
Khaamoshii kah Rahii hai kaan mein kyaa
aa rahaa hai mere gumaan mein kyaa

ye mujhe chain kyuuN nahiin partaa
ik hii shaKhs thaa jahaan mein kyaa
Piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholli bhaalli soorat main
piyar kesay milta hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay

roo Rahi hai shehnaii
bheer main hai tanhaii
rooknay se ruktay hain
kab bhala yeh herjaii
rishtay kachay dhagay hain
yeh tu maan lo pehlay
yeh tu maan lo pehlay

benaam logon k
kitnay naam hotay hain
yeh bhi us ki qudrat k
kesay kaam hotay hain
kiun yeh aisay hota hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay

bewafa zamanay main
piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholi bhaali soorat main
piyar kesay milta hai yeh
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
Tu Jo Roye Gi To Meri Palkon Pe Nami Reh Jaaye Gi

Zindagi Bus Naam Ki Zindagi Reh Jaaye Gi

Tu Mujhe Chorh Rahi Hai Ek Baar Phir Se Soch Le

Main Chala Jaaon Ga Aur Tu Dekhti Reh Jaaye Gi

Ye Nahi Kehta K Tum Bin Jee Nahi Paaon Ga

Haan Meri Zindagi Main Ek Kami Reh Jaaye Gi

Main Tou Tey Kar K Chala Jaaon Ga Dunya Ka Safar

Mere Baare Main Ye Dunya Sochti Reh Jaaye Gi

Zindagi Main Sub Se Zyaada Maine Tujhe Chaha

Main Agar Na Bhi Raha To Ye Shayeri Reh Jaaye Gi
Raat Kat’ti Rahi Chaand Dhalta Raha
Aatish-e-Hijr Main Koi Jalta Raha

Ghar Ki Tanhaiyan Dil Ko Dasti Rahi’n
Koi Bechain Karwat Badalta Raha

Aas-o-Umeed Ki Shama Roshan Rahi
Ghar Ki Dehleez Ko KOi Takta Raha

Raat Bhar Chaandni Gungunati Rahi
Raat Bhar Koi Tanha Sisakta Raha

Ashk Palo’n Pe Aa K Bikherte Rahe
Naam Lab Par Kisi Ka Larazta Raha

Aaj Phir Raat Basar o Hi Gayi
Aaj Phir Koi Khud Se Ulajhta Raha
Bikhar Rahi hai meri zaat usey keh dena,
Kahin mile woh tu yeh baat usey keh dena..

Osey kehna keh bin os ke din katt taa hai,
Sisak ke kat ti hai har raat usey keh dena..

Woh saath tha tu zamana tha hamsfar mera,
Magar ab koi nahi saath usey keh dena..

Ganwa ke pyaar mein ham tu khud ko hi betha gaye,
Kare hain ishq ke lamhaat usey keh dena..

Woh jis ko sun ke palat aaye meri duniya mein,
Hawaao aise koi baat usey keh dena..

Agar woh phir bhi naa loutey tu mehrbaan kasid,
Hamaari zeest ke halaat usey keh dena..
Hum na samjhe tere nazroon ki taqaza kya hai...
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai...

Mujh ko madhosh sa ker rakha hai tere aankhon ne...
Warna ae Saaqi tere meh khane mien rakha kya hai...

Dekh laila tere majnoo ka kaleja kya hai...
Khak mien mil k bhi kehta hai k bigra kya hai...

Ye suRahi sa badan le k mere samne na aa...
Main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai...

Aapne honton ko mere honton se chone to de...
Aik do ghoont se bottle ka bigarta kya hai...
Pehli Si Wo Ulfat Na Rahi ,

Ab Doston Mai Rasm-e-Mohabat Na Rahi ,

Muddat Se Meri yaad Se Ghafil Hai Dost mera ,

Shayad ab Usko Meri Zarorat Na Rahi
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi Rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai tere aankhon ne ... warna ae saaqi tere mah khane mien rakha kye hai.... dehk laila tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye suRahi sa badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....