Rahi SMS Messages411 messages

jakham itne gehre hai izhar kya karen,
Hum khud nisana ban gaye hai waar kya karen,
mar gaye hum magar khuli Rahi aakhe,
ab is se jyada unka intjaar kya karen
Raat kat''ti Rahi Chaand chalta raha,

Aatish-e-hijar main koi jalta raha,

Tanhaiyaan dil ko dasti raheen

koi bey chain karwatain badalta raha,

Aas o umeed ki shama roshan Rahi

Ghar ki dehleez ko koi yon hi takta raha,

Raat bhar chaandni gungunaati Rahi

Raat bhar koi tanha sisakta raha,
Kuch main b thak gaya hun usy dhundty huwe

Kuch zindgi k paas bi mohlat nahi Rahi

Us ki ik ik ada sy jhlakny laga khloos

Jab mujh ko aitbar ki adat nhi Rahi.
Falak Ke Teer Ka Kya Nishana Tha

Idhar Mera Ghar, Udhar Uska Aaashiyana Tha


Puhunch Rahi Thi Kinare Pe Kashti-E-Umeed

Usi Waqt Is Tufaan Ko Bhi Yahaan Aana Tha
Humme bhi ab neend ki talab nahi Rahi..
ab ratoon ko jagna aacha lagta hai..

mujhe nahi maloom k tu meri qismat hai k nahi..
magar tujhe khuda se manghna aacha lagta hai.../
Aaj rothay huway sajan ko bohat yaad kiya
Apnay ujray huway gulshan ko bohat yaad kiya
Jab kabhi gardish-e-taqdeer nay ghera hai hamein
Gaisuay yaar ki uljhan ko bohat yaad kiya
Shama ki joot pey jaltay huway parwano nay
Ek teray shula-e-daman ko bohat yaad kiya
Jis k mathay pey nae subah ka jhoomar ho ga
Hum nay us waqt ki dulhan ko bohat yaad kiya
Aaj totay huway seeno ki bohat yaad aei
Aaj beetay huway sawan ko bohat yaad kiya
Aaj sar-e-toor bhi mayoos-e-tajali hi Rahi
Aaj daar-e-yaar ki chilman ko bohat yaad kiya
Mutmaen ho he gay dam-o-qafas mein sagar
Hum asseron nay nasheman ko bohat yaad kiya
mai Rahi hoon rah-e-adam ka mujhe zindgi ki fikar nahi
mai ji raha hoon is ghari mujhe aglay pal ki khabar nahi
mai beta hoon hawaon ka mujhe koii bhi pakar na sake
yunhi phirta hoon gali gali mera kahin pe koii ghaar nahi
sochta hoon kiya chal sake gain mere saath ehbab mere
chala hoon aankh band kar ke mujhe rastun ki khabar nahi
mai kho gaya hoon khud say hi ,mujhe apni hi talash hai
chal raha hoon dhoop main mere sar pe koii Aabar nahi
mere pas yunhi baithe raho mere dil pe hath dharo zara
mere dil ko thora karar do meri wehshatun ko sabar nahi
ye kitab dil ki kitab hai isse samajhte hain samajhne wale
ye falsafa hai muhabbtun ka yahan koii zair-o-zabar nahi ..............
Wo silsily wo shoq wo nisbat nahi Rahi...
Ab zindagi main hijr ki vehshat nahi Rahi...
Tota hai jab se us ki masihai ka talisam...
Dil ko kisi maseeha ki hajt nahi Rahi...
Phir yon hua k koi shnasa nahi raha...
Phir yon hua k dard main shidt nahi Rahi...
Phir yon hua k ho gaya masroof wo buhat...
Or hum ko yaad kerne ki fursat nahi Rahi...
Ab kya kisi ko chahain k hum ko tu in dino...
Khud apne ap se b mohabbat nahi Rahi...
kitni bechain hai ye sanse meri bina tere bohat roti hain ye aankhein meri

kab se meri aankho ko neend aati he nahi bahain mangti hai mujh se ratain teri

jaan aajao k ab dil kahi lagta hi nahi tum ko bola Rahi hai ye bahein meri

kitni bechain hai ye sanse meri
bina tere bhut roti hai ye aankhein meri
Tere dil ko chhu ke hawa jo guzre kabhi
Samajh lena humko yaad teri aaye abhi
Humne socha kaise tumko pata chale
Boli hawa," Mein dila ke ehsaas aaye abhi "
Saath tere chalti rahegi yun yeh fiza
Jaise meri dhadkan dil mein samaye abhi
Dekh ke dewaane tumko hum ho gaye
Nazaron pe meri awaargi hai chaaye abhi
Lag Rahi hoon khush mein aaj kyun itna
Lagta hai Uss ne Kismat meri banaye abhi
woh barsaat
jis ke intizar main bara maah guzre
kaali ghataa chaane ke baad
poora samaa jhal thal ho gya
pattay bheege
phoolon ne bhi ghusal kia
per mere honton ko
us aek katray ki pyas Rahi
jo teri zulf se ho kar
tere rukhsar pe bahay
aur jab wohi aek katra
teri ghulab ki pankharion
se labon per aa ke thehray
apni barson ki pyas bhuja loon
teri aankhon ko choom loon
tere sapno main ashiyana bana loon
tere labon ko choo loon
teri har baat ammar kar doon
tere ghulabi rukhsaron per chehra laga ke
kisi dhoop main chaon ki manind
umer guzar doon
tera wajood orh loon
kahe to zindagi tere naam kar doon
tumhe apne dil me basahea hai me na
khtaha hai yeh mere yehe juram hai mera
jo chaho mohabat ki ab tum saza do
bhot muj ko is me bhe Rahiat mele ge....