Ankh SMS Messages1253 messages

Tamanaon Ke Bahlaave Mein Aksar Aa Hi Jaate Hain
Kabhi Ham Chot Khaate Hain Kabhi Ham Muskurate Hain
Ham Aksar Doston Ki Be-Vafaaii Sah To Lete Hain
Magar Ham Jantey Hain Dil Hamaare Toot Jaate Hain
Kisi Ke Sath Jab Bite Hue Lamhon Ki Yaad Aai
Thaki AAnkhon Mein Ashkon Ke Sitaare Jhil-Milate Hain
Yeh AAnkhen Bohat Satati Hain
Yaadon Ke Khuwaab Dikhati Hain
Mujhe Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
Bas Apni Baat Manwati Hain
YEH AAnkhEN BOHAT SATATI HAIN
Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Ruswayi Se Darrti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her Waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke Wapis Aati Hain
YEH AAnkhEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai
Phir Khuwabon Se Bhar Jaati Hai
Jab Toote Shor Machati Hai
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai
Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai
Yeh AAnkhen Bohat Satati Hain
Ankhain Dekhi To Mein Dekhta Reh Gaya
Jaam Dou Aur Donon Hi Do Aatisha
Ankhain Ya Maykadey K Wo Dou Baab Hain
Ankhain Un Ko Kahun Ya Kahun Khuab Hain
Ankhain Neechi Huyeen To Haya Ban Gayen
Ankhain Oonchi Huyeen To Dua Ban Gayen
Ankhain Uth Ker Jhukeen To Adaa Ban Gayeen
Ankhain Jhuk Ker Utheen To Khata Ban Gayeen
Ankhain Jin Mein Hain Qaid Aasman-O-Zameen
Nergisii Nergisii, Surmageen Surmaeen
Sham Se Ankh Main Nami Se Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Se Hai

Daffan Kardoo Hamien K Sanss Milly
Nabz Kuch Deer Se Thami Se Hai

Waqat Rahta Nahi Kahien Tik Kar
Uss Ki Addat Bhi Aadmi Se Hai

Sham Se Ankh Main Nami Se Hai
Aaj Phir Aap Ki Kami Se Hai
AAnkhon Main Jal Raha Hai Kio Bujhta Nahi Dhuhaan
Uthta To Hai Ghata Sa Barasta Nahi Dhuhaan

AAnkhon K Ponchne Se Laga Aanch Ka Pata
Yun Chehra Peher Lene Se Chuhpta Nahi Duhaan

AAnkhon Se Aanso’on K Marasim Poorane Hain
Mehmaan Yeh Ghar Main Aayen To Chubhta Nahin Duhaan
Ankhon Mein Namee, Hansi Labon Par
Kya Haal Hai, Kya Dikhaa Rahay Hoo
Ban Jaayenge Zaher Peete Peete
Yeh Asshq Joo Peete Ja Rah
Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kiyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kiyon Ho
Wo AAnkhein
Meri AAnkhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Dekhti Hain
Dekhti Rehti Hain
Main Bhi Dekhta Hoon
Dekhta Rehta Hoon
Jis Se Rooth Jaati Hain
Main Us Se Rooth Jaata Hoon
Wo Jis Se Pyaar Karti Hain
Main Us Se Pyaar Karta Hoon
Wo AAnkhein
Meri AAnkhein To Nahi Phir Bhi
Wo Jo Kuch Sochti Hain
Sochti Rehti Hain
Main Bhi Sochta Hoon
Sochta Rehta Hoon
Jis Dam Muskuraati Hain
Main Us Dam Muskurata Hoon
Wo Jab Afsurda Hoti Hain
To Main Afsurdsa Hota Hoon
Wo AAnkhein
Meri AAnkhein Ho Nahi Sakteen
Magar Phir Bhi
Diwaana Hoon Jo Un Ko
Chaahta Hoon, Chaahta Hoon
Chaahta Rehta Hoon
In Jeheel See Ghyari AAnkhon Ki Purudas Khamushi Ka Sabab Pucha
To Mehloom Ye Howa Inhein Dukh Mera Nain Gham Apna Hai
Terey Jaisi AAnkhon Waley, Sahil Per Jab Aatey Hain
To Lehrain Shoor Machati Hai, Loo Aaj Samandar Dhob Gea
Tere Ankhoo May Ansuoo Key Chammak Deakhy
Teray Chehray Per Gum Key Dahnak Deakhy
Phir Pucha Kya Baat Hai Toa Kehnay Lugy
Khawab May Tumhare Judaee Key Jahlak Deakhy
Aaj Kya Dekh Key Bher Aaee Hein Teri AAnkhein
Hum Pe Aey Doost Yeh Saa-At To Hameysha Gozri
Meri Tanha Sufri, Mera Moqadder Thi FARAZ
Verna Iss Shehr-E-Tamanna Sey To Dunya Gozri