Ankh SMS Messages1253 messages

Tanhai mere kaan me kuch kehne lagi he,

Ek zaat meri zaat me gum rehne lagi he,

Jisko AAnkh ko kisi ne b rote nhi dekha,

Wo Aakh teri yad me num rehny lagi hai.>
Tumhain bakhsi hay dil ki hukmarani, aur kya detay?
yehi thi bus hamari rajdhani, aur kya detay?

saja ker sir hatheli per gaye thay koo-e-jana me
hum apnay ishq main unko nishani aur kya detay?

woh hamsay mangta tha umar ka ik dil-nasheen hissa
na detay usko hum apni jawani, aur kya detay?

Sitaaron se kisi ki maang bherna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindagani, aur kya detay?

Bichartay waqt usko ik na ik tuhfa to dena tha
Hamaray paas tha aAnkhon me paani, aur kya detay
barhayin meri payas ko aksar teri Ankhain
sahra mera chahra hay..samandr teri Ankhain

mumkin ho tu ik taza ghazal aur b kah lon
phir orh na lain khawb ki chadar teri Ankhain

yun daikhty rahna usy acha nahi mohsin
wo kanch ka paikar tu pathar teri Ankhain
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujh Ko

Tumko AAnkho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh Ko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujh Ko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujh Ko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh Ko
rukhsat huwa to Ankh mila kar be nahi gaya
wo kyun gaya ye bata kar be nahi gaya

wo yon gaya kay bada-e-saba yaad aagai
ahsas tak be hum ko dila kar nahi gaya

ghar main hay aj tak wohi khusbo basi hoi
lagta hay kay jasay wo aa kar hi nahi gaya

rehnay diya na us nay kisi kam ka mujy
our khak mian be muj ko mila kar nahigaya
Ishq karnay kay bhi kuch aadab hotay hain
Khule Ankhoun main bhi kuch khuab hotay hain
Har koi roo kay dekhai yeh zarori to nahi
Khushk Ankhoun main bhi selaab hotay hain...
Teri Tasweer meri Ankhon main Basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai lekin
Tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

Mujh ko hai khaber asaan nahin tujhe haasil karna
phir bhi yeh intizaar yeh bekarari kyun hai

Barson guzar gaye meray tanhayee main lekin
Meri baanhon ko aaj bhi tera intizaar kyun hai

Teri chahat ki kasam khoon kay aansoon royaa hon
Ab nahin hai kuch bakee phir yeh jaan bakee kyun hai

Khatam huwa mera yeh afsana ek baat batadoo lekin
Anjaam tha malooom mujh ko phir yeh muhabbat kyun hai
Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
Do Ghari neend Sula do
Mujhko

Ek naya khawab dikha do
Mujhko

Na pohanch paon mein
Chalte chalte

Aisi manzil ka pata do
Mujhko

Zindagi talkh hui jati hai

Ab na jeene ki Dua do
Mujhko

Yun Hi kam hogi jalan
AAnkhon Ki

Tum Zara aur rula do
Mujhko

Jurm to koi na Saabit
Hoga


Be-Gunahi Ki Sazza Do
MUJHKO...!!!
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai tere aAnkhon ne ... warna ae saaqi tere mah khane mien rakha kye hai.... dehk laila tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye surahi sa badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....
Muhabat Ka Irada Ab Badal Jana Bhi Mushkil Hai

Tumen Khona Bhi Mushkil Hai Tumen Pana Bhi Mushkil Hai

Udasi Tere Chehre Ki Gawara Bhi Nahi Lakin

Teri Khatir Sitare Tor Kar Lana Bhi Mushkil Hai

Zara Si Bat Par Ankhen Bhigo Kar Baith Jatey Ho

Tumen To Apne Dil Ka Hal Batlana Bhi Mushkil Hai..
Her jaanib samundar hai
Kinaara kiyun nahi milta..
Mere Maula bataa
Mujhko sahaara kiyun
nahi milta..
Mujhe is shehar mein din bhar
Hazaaron log milte hein..
Jissay mein doondnay nikla
hoon woh pyaara kiyun
Nahi milta..
Jissay Chaha, Jissay Pooja,
Jissay Socha, Jissay Likha,..
Mere Maula mera us se
Sitaara kiyun nahi milta..
Bohat hi door hai manzil Bhatakna
hai kab Talak,
Yah Rab..
Kissi ki Ankhon ka mujhko
Ishara Kiyun Nahi Milta...