Ankh SMS Messages1253 messages

pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye
hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye

aAnkhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray
hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye

haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay
haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye

ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum
ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye

koi na shab ki tergi main saath de saka
kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye

hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi
kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye
Wo To PANi Ki Boond Hy
Jo
Ankhon se Beh Jae

Ansu To Wo Hy
Jo
TARAP K AAnkho Me Hi Reh Jae

Wo PYAR Kia
Jo LAFZON Me BAYAN Ho

PYAR Wo hy
Jo Ankhon Me NAZAR Aae
Meri aAnkhon mein ansooun ko rehne ki adat si ho gayi hai
Ae Khuda ! tarap utha hun mein ab to is nadi ko thehra do
Shayad Iss Nay Mujh ko Tanha Daikh Lya Hey
Dukh Nay Meray Gher ka Rasta Daikh Lya Hey

Apnay Aaap Say Ankh Churata Phirta Hoon
Aaiinay Mein Kiss Ka Chehra Daikh Lya Hey

Us Nay Mujhay Darasal Kabhee Chaha Hee Nahin Tha
Khud Ko Day Ker Yeh Bhi Dhoka! Daikh Lya hey

Uss Say Miltay Waqt Ka Rona Kuch Fitree Thaa
Uss Say Bicchar Janay Ka Nateeja Daikh Lya Hey

Rukhsat Kernay Kay Adab Nibhanay They
Band Ankhon Say Us ko Jata Daikh Lya Hey
Ankhein bhi wohi hain dareecha bhi wohi hai...
aur soch ke aangan mein utarta bhi wohi hai...

jis ne mere jazbon ki sadaqat ko na jaana...
ab meri rafaqat ko tarasta bhi wohi hai...

is dil ke kharabe se guzar kis ka hoa hai...
aAnkhein bhi wohi hai hont bhi lehja bhi wohi hai...

jo kuchh bhi kaha tha meri tanhayi ne tujh se...
is shehar ki deewar pe likha bhi wohi hai...

woh jis ne diye mujh ko muhabbat ke khazane...
baadal ki tarah aAnkh se barsa bhi wohi

Kyun yaad tum itna aate ho...?
Kyun hum ko tum tarpaate ho...?

Gum sum gum sum hain aaj sahar se hum...
Kyun itna hamain sataate ho...?

Aadi hogaye hain us sitam ke hum...
Jo aadatan humpe dhaate ho.

Tumhain khayaalon se gar nikaal bhi dain...
To khwaabon main aajaate ho.

Hum lab se nahin karte izhaar-e-mohabbat...
Tum aAnkhain hii nahin parh paate ho.
kisi kamzor lamhey mein
agar mein tum se ye keh doon
mujhey tum se MUHABBAT hey
to ye mat samjh lena
k mein ne sach kaha ho ga...
aisy dil nashee''n bato''n ko
pairaye mein kehna
mujhey bachpan se aata hey...
meri aAnkhein, mera chehra
mera ye bey saakhta lehja
ye sab jhoot kehta hey..
par is jhoot mein ek sach bhi hey...
MUJHEY TUM SE MUHABBAT HE..!!!
jab bahaar aei tuu sehra ki tarf chal nekla
sehn_e_gul chor gaya dil mera pagal nekla
hum sakon dhundny nekly thy pareshaan rahy
shehr tuu shehr ha jungal b na jungal nekla
hum usy dhundny nekly tuu neshaan tak na mela
dil main mojud raha Ankh say ojhal nekla
wo jo afsana_e_ghum sun k hansa karty thy
etna roay hain k sab Ankh ka kajal nekla
ek mulakat thi jo dil ko sada yad rahi
hum jesy umar samjhy thy eo ek pal nekla..!!
Kaun rakhta hai yaad naamo ko,

Log chehere ko bhool jatey hain,

Tum samundr ki baat krtay ho,

Log AAnkhON mein doob jatey hain.....
Zamanay Bhar Ki NigahOn Main Jo Khuda Sa Lagay
Wo Ajnabi Hai, Magar Mujh Ko Aashnaa Sa Lagay



Na Jaanay Kab Meri Duniya Main Muskuraye Gaa
Wo Aik Shakhs K KhuabOn Main Bhi Khafa Sa Lagay


Ajeeb Cheez Hai YaarOn, Ye ManzilOn Ki Havas
K Raahzan Bhi Musafir Ko, Rah-Numa Sa Lagay


Dil-e-Tabaah! Tera Mashvara Hai Kia, K Mujhay
Wo Phool Rang Sitaraa Bhi, Be-Wafa Saa Lagay


Hui Hai Jis Se Munavvar Har Aik AAnkh Ki Jheel
Wo Chaand Aaj Bhi Mujh Ko Kam Numa Sa Lagay...
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
AAnkhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen
Yahan Sabko Miley Pyar Ye Zaroori To Nahi Hai
Ho Qismat Par Ikhtiyar Ye Zaroori To Nahi Hai

Dard Dil Mein Agar Hoo Tho Rooh Roti Hai
AAnkhein Roye Zaar Zaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Phoolon Ki Chubhan See Joo Daman Howa Chalni
Ho Usmey Koi Khar Ye Zaroori To Nahi Hai

Jo Harghari Khatey Hain Sang Marney Ki Kasmein
Ho Sang Jeeney Ko Taiyaar Ye Zaroori To Nahi Hai

Umeed Mee Jiski Teri Palkein Howi Pathhar
Usey Hoo Tera Intezar Ye Zaroori To Nahi Hai

Yaqeen Karke Jis Ko Apni Zindagi Banown
Usey Tujhpar Hoo Aitbar Ye Zaroori To Nahi Hai

Band Ker Rona Khwab Badnaseebi Par Apney
Ziist See Hoo Sab Bezar Ye Zaroori To Nahi Hai