na chahte hue bhi didar ho gaya,
tujhe dekha to mujhe pyar ho gaya.
socha na tha ki manzar ajib hoga tumse milkar,
par khuda ne tujhse milakar mausam rangeen kar diya.
Uski yadon mein uski baton mein
Us ki duaon mein kahin mera aks to jhilmilata hoga
Lakh masroof hoga apnay kamon mein woh
Par ik pal to meri yad mein bitata hoga
Unke husn ke charche logo se suna karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda karte hai.