Do Ghari neend Sula do

Do Ghari neend Sula do
Do Ghari neend Sula do
Mujhko

Ek naya khawab dikha do
Mujhko

Na pohanch paon mein
Chalte chalte

Aisi manzil ka pata do
Mujhko

Zindagi talkh hui jati hai

Ab na jeene ki Dua do
Mujhko

Yun Hi kam hogi jalan
Aankhon Ki

Tum Zara aur rula do
Mujhko

Jurm to koi na Saabit
Hoga


Be-Gunahi Ki Sazza Do
MUJHKO...!!!
  

Jun, 04 2010     343 chars (3 sms)     2795 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tum Bhala kiya Humain manzil ki Basharat Do GY





Tum To Rasta Bhi Nahi Dete ho Chalne k Liye
Be-Naam Zindagi ki Haqeqat na Puchiye Faraz,

Kuch Pur-Khaloos Loog Thay,Barbaad Kar Gaye
tum ne hamain ek diye ki manend samjha sagar

rat gahri howi to jala diya subha howi to bujha diya..
Tum se roz milne ko dil chahta hai...

kuch sunne kuch sunane ko dil chahta hai...

Tha ap k mananai ka andaz aisa...

Roz ruth janai ko dil chahta hai...
Is se pehle ki dilo me nafrat jaage,
aao ek shaam mohabbat me bita di jaaye....

Karke kuch ''ISHQ'' ki baatein,
Is shaam ki masti badha di jaye.......!!!!
kitni mushkil se muhabat ka hova hai aaghaaz...

kerwatein leti hai kiun khwahis-e-anjaam abhi...!!
Kat ti naheen hay gham ki raat
A k thair gayi hay kiya
Nind to khair so gayi
Mout bhi mar gayi hay kiya

Jalte hain armaan
Mera dil rota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay

Koun mere tuute dil ki
Faryaad sune
Aaj meri taqdeer ka
Maalik sota hay

Ayi asi moj k
Sahil chuut gaya
Warna apni kashti
Koun dubota hay
Kismat ka dastoor
Nirala hota hay
Hum Karte Hain Tum Se Pyar Tum Se Hi Pyar Karenge
Aaj Ye Sari Duniya K Samne Iqraar Karenge
Kabhi To Jhalak Do Hamari In Tarasti Nighaon Ko
Phir Shaam O Saher Tumhara Hi Deedar Karenge
Kachi Deewar

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko



Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko



Baat Karnae Mai jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mai
Mai Samajh Jaaonga Nazron Se Bataana Mujh ko



Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khawab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujh ko



Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Mai to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh ko



Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko
ae chand tu bhul jayga garur se chamakna,,,

jis roz dekhy ga ik jhalak mere yar ki,,,
Yun achanak se aa jati ho samne,

k mai kuch bhi keh paata nahi,

Kya kahu tere husn k sajde me,

Ke koi sher bhi yaad aata nahi
Agr wo poochh lein hum sey tumhein kis baat ka gham hai,
to phir kis baat ka gham hai agr wo poochh lein hum se...