jaane kyun
wo saanso ki dor tootne nahi deta
bas do kadam aur chalne ka
waasta dekar mujhe rukne nahi deta
baat kehta hai
wo mujhse hans hans kar jee lene ki
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta
aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta
shayad jaanta hai
wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai
jaane kyun fir bhi
wo in aansuo ko girne nahi deta
mujhse kehta hai, “main to mar jaunga tumhare bina“
main zinda hun ab tak ke
wo mujhe merne nahi deta..