Yeh Aankhen Bohat Satati Hain
Yaadon Ke Khu
waab Dikhati Hain
Mujhe Saari Raat Jagati Hain
Kab Dil Ke Raaz Chhupati Hain
Palkon Ke Dareeche Kholti Hain
Kuch Apni Zaban Main Bolti Hain
Bas Apni Baat Man
wati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek Aan Main Faisla Karti Hain
Yeh Kab Rus
wayi Se Darrti Hain
Yeh Ghungroo Baandh Nachati Hain
Her
waqt Yeh Jaagti Rehti Hain
Ek Khoj Main Bhaagti Rehti Hain
Thak Haar Ke
wapis Aati Hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke Se Kahin Lad Jaati Hai
Phir Khu
wabon Se Bhar Jaati Hai
Jab Toote Shor Machati Hai
Yeh Royen To Dil Bhi Rota Hai
Kab In Se Judda Yeh Hota Hai
Yeh Dil Ko Rog Lagati Hai
Kyu Pyaar Kiya Pachtati Hai
Yeh Aankhen Bohat Satati Hain