Aarzu-E-Safar ka Jub

Aarzu-E-Safar ka Jub
Aarzu-E-Safar ka Jub Hum nay Irada kia tha
Saath Chalnay ka Us nay B Waada kia tha

Kuch Us ko Raas na Aaeen Wafa ki Sadaqatein
Kuch Aitabar hum nay bhi Zada kia tha
  

Jun, 03 2010     169 chars (2 sms)     2933 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Marne K Baad Bhi Na Chora Jalaana .....

FARAZZ

Roz Pehenk Jati Thi Phool Sath Wali Kabar Par
Aaj badal kalay gehray hain,
aaj chand pay lakhon pehray hain,

Kuch tukray tumhari yaadon k,
bari dair say dil mein thehray hain
Tanhaion k Shehar mein aik ghar bana lia
Ruswaion ko Apna muqadar bana lia
Dekha hai yahan pathar ko pojty hain log
bas iss liye apny dil ko Pathar bana lia
Tumhain bhoolnay ka tasawur keron tou keisay
jub rehtay ho tum meri sansoon mein.....
''",.''.UDAAS RAAT''",."''
Badan Thakan se Choor hai,
Par Neend Hum se Door hai,
Tera Kheyal sath hai,
Bari Udaas Raat hai,
Hawa-e-Gham ka zoor hai,
Samandron ka Shor hai,
Judaiyon ki baat hai,
Bari Udas Raat hai,
Har Nazar Sharab hai,
Tere Milne ka Khuab hai,

Bari Udaas Raat Hai.
Buhat hi Muddat kai baad kul jub
kitaab-e-maazi ko main nai khola

buhat sai chehrey nazar main utray
buhat sai naamoan pai dil paseeja

ik aisa safa bhi usmain aaya
likha hoa tu jo aansoan sai

kai jis ka unwaan HUMSAFAR tha
jo safa sub sai hi moatabar tha

kuch aur aansu phir us per tupkai
phir us sai aagay main phar na paaya

kitaab-e-maazi ko bund karkai
tumhari yaadoan main kho giya main

Agar Tu Milta Tu kaisa Hota
Inhi Khyaloan main so gya…
Pathar Ki Hai Duniya Jazbaat Nahi Samajti,
Dil Main Kya Hai Wo Baat Nahi Samajti,
Tanha To Chand Bhi Hai Sitaro Ke Beech,
Par Chand Ka Dard Bewafa Raat Nahi Samjti….!!!!
APNE HONTON PAR SAJANA CHAAHTA HOON
AA TUJHE MEIN GUN-GUNAANA CHAAHTA HOON

KOI ANSU TERE DAMAN PAR GIRA KAR
BUND KO MOTI BANAANA CHAAHTA HOON

"THAK GAYA MEIN KARTE KARTE YAAD TUJH KO"
"AB TUJHE MEIN YAAD ANA CHAAHATA HOON"

CHHAA RAHA HAI SARI BASTI MEIN ANDHERA
ROSHNI HO GHAR JALAANA CHAAHATA HOON

AKHIRI HICHKI(HIDCHKI) TERE ZANOO PE AEY
MAUT BHI MEIN SHAYRAANA CHAAHTA HOON
Mujhe kisi k aaney ka itna yakeen tha "SAGAR"


Raat kat gai or main ghar he sajaata raha...!!!
Aqeedat Aur Hoti Hai, Murawwat Aur Hoti Hai

Mohabbat Jis Ko Kehtay Hain, Wo Naimat Aur Hoti Hai

Qayamat-Khez Manzar Jo Hazaro Hum Ne Dekhay Hain

Jo Dil Pe Toot-ti Hai Wo Qayamat Aur Hoti Hai

Maheeno Baad Milnay Ki Khushi Apni Jaga MOHSIN

Wo Zalim Jab Bicharta Hai To Halat Aur Hoti Hai... ;->
yehi wafa ka sila hy to koi bat nhi.
ye dard tum ne dia hy to koi bat nhi.
itna boht hy k tum dekhte ho sahil se.
safina dob raha hy to koi bat nhi.
kisi ki majal jo mujh ko kahe bewafa.
agr ye tum ne kaha hy to koi bat nahi.
ye mery bs me kahan k tujh ko bhul skon.
tu mujh ko bhul chuka hy tu koi bat nahi.
ae khuda wand tala ye kasi teri dunyia hai.

Kah zinda insan zindgi mangta hai tuj se.