w SMS Messages18904 messages

Sabhi Log To Kabhi Achay Nahin Rehtay
Jin Se Sach Seekha Hai woh Bhi Sachay Nahin Rehtay
Kiun Aisa Hoota Hai Aetebaar Ki Tooti Dehleez Per
Jo Buhat Apnay Hoon, Akser Apnay Nahin Rehtay
Raaz-E-Ulfat Chupa Ke Dekh Liya
Dil Bahut Kuch Jalaa Ke Dekh Liya
woh Mere Ho Ke Bhi Mere Na Huai
Un Ko Apna Bana Ke Dekh Liya
Logon Ne Kaha..!
Is Derrr Se Kabhi
Koi Na Umeed Nahin Lauta
Koi Khali Haath Nahin Gaya
Main Bhi Logon Ke Sath Chala
Chehre Pe Gird-E-Malal Liye
Ek Pur Umeed Khayal Liye
Ek Khali Dast-E-Sawal Liye
Jab Kafila Us Der Per Puhancha
Main Us Ghar Ko Pehchan Gaya
Phir Khaali Hath Hi Laut Aya
Us Derrr Se Mujhe Kia Milna Tha….?
woh Ghar Tu Mera Apna Tha……..!!!
Mere Charon Taraf Hai Dashat-E-Be Payan Kahan Ho Tum
Mere Mathay Pe Bosa Dene wali! Kahan Ho Tum

Mujhe Jhulsa Rahi Hai Zindagi Ki Dhoop Barsoon Se
Meri Umeed, Meri Zeesat Ke Saman Kahan Ho Tum

Kharashain Daal Di Hain Dil Ke Aaine Pe Duniya Ne
Mere Har Dukh, Har Dard Ka Darman Kahan Ho Tum

Main Thak Kar Girne wala Hoon Mujhe Aaghosh Main Ley Lo
Tahaqub Main Hai Mere Ghardesh-E-Doran Kahan Ho Tum

Mere woh Dost Khush Qismat Hain Jin Ki Main Zinda Hain
Meri Nazroon Main Sara Shaher Hai Veeran Kahan Ho Tum
Sondhee Mittee Kee Khushboo Mien Liptee Huyee Kucch Yaadien
Phoolon Kee Pankhuriyon Mien Sahejay Huye Kucch Lamhaat
Uss Aksmaat Mulaaqaat Kee Goonjtee Huyee Dharkhan
Ek Ghazal Mien Gholee Huee, Kisikay Lafzon Kee Misree
Zehen Mien, Be-Khauf Failtaa Hua Ek Tassavvur Ka Jaadoo
waqt Kee Aankhon Say Giree Huyee Ek Ashq Kee Boond
Shabnam Say Churayee Huyee, Thorhee See Numee
Ek Ajnabee Say Milee, Be-Takalluf Hansee
Unkee Jhalak Ka Muskurata Hua Khumaar
Ek Chashm Mien Tairtee Huyee Jheel Kee Gehraayee
Zehan Kay Aangan Mien Kheltay Huey Khayaalon Kay Kehkahay
Ek Manzil Pay Baithay Huey Intezaar Kee Kashish
Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Youn Baghoon Main wo Chah Jati
Phir Choti Phirti Pholoon Ko
Youn Rang wo Apna Bikhrati

Es Haray Bharay Gulshan Ko wo
Youn Apnain Rang Say Chamkati
Nadani Thee Us Ki Apni
Oroon Kay Hath Na Aati

Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Aeay Kash Kaay Titly Ooudh Jati
Aaj Kuch Maangna Hay Tum Say
Aaj Kuch Lena Hay Tum Say
Aaj Kuch Dena Hay Tum Ko
Aaj Kuch Kehna Hay Tum Ko
Na He Koi Khuwahish, Tamanna Na Arzoo
Bas Aik Hi Chah Hai Apni Aur Aik Hi Justaju
Ham Maangtay Hain Tum Say,
Teray Derd O Gham wo Saarey Jo Rula Gaye Hain
Teri Neenden Uda Gaye Hain
Ham Hain Shareek E Gham Teray Pehchaan To Sahi
Ham Bhi Hain Saath Teray Tu Jaan To Sahi
Ker Bojh Apnay Dil Ka Halka Hamen Bataday
Ye Fikar Ye Udasi Kioon Hay Zara Sunaday
Laaye Hain Ham Baharain Teray Hi waastay
Ye Rang Aur Ye Khushboo Teray Hi waastey
Aaj Kuch Maangtay Hain Tum Say
Aaj Kuch MaangnA Hay Tum Say
Apni Nazroon Se Jo Gir Jaye woh Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamhe-A-Fursat Ka Khilona Na Bana

Saink’roon Rastey Hain Ajnabi Ho Janey Ke
Tark Karna Hai Tou Talook Ka Bahana Na Bana

Jhoot Ehsaas Ki Qandeel Ko Boojha Deta Hai
Muhjey Insaan Samja Khud Ko Farishta Na Bana

Apni Yaadein Tu Mere Dil Main Basi Rehne Dey
Is Mehaktey Huay Gulzaar Ko Sehra Na Bana

Mein Tu Pehle Hi Zakhum Liye Phirta Hoon
Muhjey Aab Shehar Dard-E-Tamasha Na Bana

Thak Gaeen Hain Mere Ehsaas Ki Aakhain
Nqash-E-Deewar Per Aab Koi Afsana Na Bana
Unse Haal-E-Dil Kahoon Na Kahoon
Hai Bahut Mushkil Kahoon Na Kahoon

Jo Mere waqt-E-Dafan Roya Hai Zar-Zar
wahi Hai Mera Kaatil Kahon Na Kahon

Poochon Na Poochon Tera Maazi Gard-E-Dasht
Tujhse Tera Mustaqbil Kahoon Na Kahoon

Tere Khilaaf Kya Hai Saajish-E-Toofaan
Tujhse Ae Yara ! Kahoon Na Kahoon
Kiss Tarah Jeetay Hain Hey Loog Bata Doo Yaroo
Hum Koo Bhee Jeeney Kaa Andaz Sikha Do Yaroo
Dard Kaa Naam Sey waqif Na Jahaan Hoo Koee
Asi Mehfil Mein Humay Bhee To Patta Doo Yaroo
Gali Main Dard K Purze Talaash Karti Thi
Maire Khatoot K Tukre Talaash Karti Thi

Bhulae Koon Azyat Pasandiyaan Us Ki
Khushi K Dhair Main Sadmey Talaash Karti Thi

Ajab Hijar Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar K Toote Patey Talaash Karti Thi

Ghuma Phira K Judai Ki Baat Karti Thi
Hamaisha Hijar K Harbey Talaash Karti Thi

Duain Karti Thi Ujre Howe Mazaroon Par
Bare Ajeeb Sahaaray Talaash Karti Thi

Mujhe To Aaj Bataaya Hai Badloon Ne
wo Laut Aane K Raaste Talaash Karti Thi
Mujay Kuch Tumsay Kehna Hai

Magar Tahro
Yeh Ik Lamha Jo Azal Say Hay
Kaye Sadioon Ki Bay Chani Simat Aye Hay
Iis Ki Dobthi , Sahmi Si Sansoon Main
Hazaroon Ratjagoon Ka Dard Hay
Is Kay Tasalsul Main
Yeh Ik Lamha
Yeh Meri Baykran Chahat Ki Gerdash Ka Hasee Lamha
Yeh Ik Lamha Guzer Jaye
Tu Shaed Ishaq Ki Manzil Nazer Aye
Meri Yeh Bay Nishan Chahat
Abad Ki Bay Kran woset Ko Cho Aye
Yeh Ik Lamha
Jo Sang-E- Rah Hay Sadioon Ki Bay Payan Musafat Ka
Nishan Hay Un Ginat Rohoon Ki Un Daki Mohabbat Ka
Gubar-E- wad-E- Seena Say
wo Sab Karwan-E- Shoq
Jo Latay Hain Giran Maya Karamat, Hay
Yeh Lamha
Yeh Lamha Jo Azal Say Hay