Main SMS Messages3698 messages

khamosh lahjay Main doost kabhi bola nahi kartay..
Darday Gham ko haar kisi kay samnay khola nahi kartay

Mohabbat too mohabbat hai barii anmool hoti hai
Mohabbat ko kabhi tarazoo Main tola nahi kartay

Uss kay khamosh rahanay per koi ilzam nahi daay naa
Samandar too Samandar hai kabhi roya nahi kartay
sub se yun milna k jesay dil Main koi dukh na ho,
mujh Main ye khoobi hai sub khaamyon k bawajood
yeh mausam sabz patoon ka

sunahri dhoop kirnoon ka

hamien kab raas aaya hai

hamari zard aankhoon ne banjar khwab hi dekhey

keh apni khwab aalood hasti Main

aatab alood basti Main

koi khushboo na aanchal hai

koi jhonka na badal hai
raabta toot jata he, silsila nahi milta
mujhay dehaan ki galiyon Main raasta nahi milta

us kitaaray roshan Main ik kami si lagti he
jis pe naam tha tera, wo diya nahi milta
Ye dil bholaata nahi hay muhabatin uski
Pari hoi thee mujhay kitni aadatain uski
Ye mera sara safar uski khoshboo Main kataa
Mujhay to rah dekhati thee chahatain uski
Bazm Main Ser Ko Jhukaye Huye Jo Bethy Hain
In Ko Mat Cheroo Yeh Hain Ishq Ke Marey Yaroo


Jinn Main Hoty Thy Kabhi Meher O Wafa Ke Moti
In Hi Ankhon Main Sittam Ke Hain Sharary Yaroo..
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

Mohabbat Main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne ..
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne

Mohabbat Main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne ..
Agar Safar Main Hamara bhi hamsafar hota,
Bari khushi se in hi Pattharon pe So letay...
Jisko Maine de di apni ye zindagi,
Woh shakhs hi mera qaatil nikla

Wafaparasti Main na koi kami ki,
In wafaon se na kuch haasil nikla

Ishq, mohabbat, qasme waade,
In lafzon ka asar uspe baatil nikla

Hum to toofan se darte rahe lekin,
Jisne duboya mujhe, wo saahil nikla !!
Bharam Rakh Lo Mohabbat Ka

Wafa Ki Shaan Ban Jao

Kisi Pe Jaan De Do

Ya Kisi Ki Jaan Ban jao

Tumhare Naam Se Pukarenge

Mjh Ko Jahan Wale

Main ban Jaon Fasana

Tum Unwan Ban Jao
Us ki khwaish hai k aangan Main utarey suraj

Bhul betha hai ke khud maum ka ghar rakhta hai .