Main SMS Messages3698 messages

Nazr me zulmat Badan me thandak
Jamal kitna ajib sa tha
Me uski chahat me ghr se nikla tou
Haal kitna ajeeb sa tha
Na mene usy khatoot likhe
Na usne meri panah chahi
Dono ko apni bekhudi pe
Malal kitna ajeeb sa tha
Wo apni raato''n me chand dekhe
Main apni raato''n me usko socho''n
Badalte lamhon me soch ka ye
Visal kitna ajeeb sa tha
Safar akele kr lo ge
Mene poocha tou ro dia wo
Jawab kitna ajeeb sa tha
Sawal kitna ajeeb sa tha
mujhay khabar thi,
zamaana chaahay bura he samjhay,
bhalay say ghar Main mukhaalifat ho,
tumhaaray logon ko na-pasand ho,
tumhain to mujh par yaqeen hoga!
magar mujhay yeh khabar na thi,
tumhaari aankhon ki unsiyat bhi,
ek ajnabiyat say dekhti hay,
yeh waqt mushkil-tareen hay na!!
suno...
Main majboor ho gaya hoon,
yeh sochnay par..
yeh sochnay par..
tumhain to mujh par yaqeen hay na...!!!
kya pochtay ho kaisa hu???

ek sard hawa ka jhonka hu..

hai meri rooh Main bechaini..

mai apnay aap Main uljha hu..

hai mera saaya aur koi...

Main aur kisi ka saaya hu..

tu khush hai apni dunya Main..

mai teri yaad Main jalta hu..

abb lot k aa aur daikh mujhay...

ik umar say tanha tanhahu...
ek kaanch sa khwaab tha,

toot gaya..

Main jaan gaya,

tum meray nehi..

par jaana bhi to kis pal Main!

jab aas ki pyaas nay,

shidat k sub sehra jungle paar kiye...!!!
Mera Piyar Bhi Mera Hi Mazak Ban Gaya
Loogon Ki Nazroo Main Ye Tamasha Ban Gaya

Mana K Kya Hai Jurum Maine Piyar Kar K
Par Dosro Ne Kya Piyar To Jeene Ki Waja Ban Gaya
Zamana Guzar Gaya Haaton Ko Male Howe
Muddat Ho Gai Nazroo Ko Mile Howe

Din Raat Nikal Gaye Yaadon Main Khoye Howe
Ab Kab Samnay Aao Gay Yaar Muskhurate Howe
Tumhain Bhulne Ki Qasam Bhula Betha Hoon
Dil Main Ik Naya Dard Jaga Betha Hoon

Sabar Ka Daman Hath Se Nikalta Ja Raha Hay
Haan Aa Dekh Teri Rahon Main Aa Betha Hoon

Jeetne Ka Ab Aay Ga Nahi Maza Sameer Ko
Q K Teri Rah Main Dil Main Apna Haar Betha Hoon
hAr chnd k hum Akhlaas ka Daawa nhi krte



Hum se milo Gay to HaMain mukhlas paoge
Pyaas jiski sada mai bhujatha raha
Zahere-katil mujhe wo pila kar gaya



Naaz uski wafa per mujhe tha magar
Teer woh bhi jigar per chala kar gaya


Dhoondta tha kabhi jo mujhe her gali
Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya


Mangta tha sahara jo herdam mujhe
Besahara mujhe wo bana kar gaya


Neend aagosh Main jiski aane lagi
Maut ki neend mujh ko sula kar gaya

Aarzoo thi "Yaaro" kisii ki mujhe,
Khawaab mere wahi to mita kar gaya
Mainay dariyaa say seekhee hai paani kee parda-daari,
Uuper uuper hanstay rehna gehraayi mein rou leina,

Reit bhari inn aankhon mein, aansuu say tum dhou leina,
Koi sookha ped milay tou uss say lipat kar rou leina,

Iss kay baad bohut tanhaa ho jaisay jangal kaa rasta,
Jo bhi tum say pyaar say bolay saath usee kay hou leina,

Kuchh tou reit kee pyaas bujhaao janam janam kee pyaasi hai,
Saahil par chalnay say pehlay apnay paanv bhigo leina,
HaatH MeRaA Ai MeRii ParChhaaii Tu Hii ThaaM Le
Ek MuddaT Se MujhE To SuujhtaA KuchH Bhii NahiiN

ShahaR Ye ShaB Me KauN Saa GhaR ThA Na Dii JiS PaR SadaA
NiinD Ke AndhE MusaafiR Ko MilaA KuchH Bhii NahiiN

UmR BhaR UmR Ye GurezaaN Se Na MeRii Ban SaKii
Jo KarE KaRatii RahE Main PuchhtA KuchH Bhii NahiiN

Wo Bhii ShaayaD Ro PaDe ViiraaN KaaGaz DekH KaR
Main Ne Us Ko AaKhirii KhaT Me LikhaA KuchH Bhii NahiiN
yeh keh kr us ne Shajar ko tAnAy se kaat Dia.



k is dArkht Main kuch TahniAn purAni hAin.