Main SMS Messages3698 messages

Mere ander saans lena chor de

Ae udaasi! Mera peecha chor de

Chaand kya aangan Main utra hai kabhi!

Sun meri jaan yeh tamanna chor de

Tu kabhi sookhe hue patto pe likh !

Sabz shaakhon ka qaseeda chor de
Teri yadoon ki mehak
Sath liye akser hum
Door khuwaboo k jazeeray Main uter jatey hain
Kyun k Main janta hon
Hum aur tum
Sirf khuwaboo Main he mil saktey hain
Mainay socha hai is baar tumharay humraah
Aik aisi jaga utroonga
Aur tumhain apnay paas bitha ker
Aankho Main aakhain daal ker
Bari himmat ker k tum say keh donga
Tumsay keh donga k tum meri ho
Tum jo chahho to
Meri yakterfa muhabbat ko sahara dey do
Zindagi yun to bohut thori hai muhabbat k liye
Tum jitna bhi piyaar mujhay dey sako sara dey do
Kuch to bolo
Kuch to bolo
Kahin aisa na ho k sehar hotey he hum wapis us dunya mian lout jain
Bus yehi chund khiyalaat liye
Teri yadoon ki mehak sath liye
Akser hum door khuwaboo k jazeray Main uter jatey hian
Kyun k hum aur tum sirf khuwaboo Main he mil saktey hain
Tere Zulfoon mein saja kar WAFA ki kaliyan



Apnay daaman mein liye phirta hoon Main ilzaam k phool
Na Adhi hoon na puri hoon.

meray hamdam


HaQeeQat hAy Main tere bin adhuri hoon
Nafratain lakH mili koi muhabbat na mili.


zindagi beet gai par rahat na mili


Teri mehfil Main har shaks ko hAnste dekha


ik Main Tha jisay hAnsnAy ki ijazAt Na mili.
tumhin kis nay kaha tha
dopahar kay garam souraj ki taraf deekho
aur itni dier dekho !!
kay beenaye pighal jaye!!!

tumhin kis nay kaha tha???
aasmaan say toot ti andhii uljhti bijlyon say dosti kar lo


aur itni dosti kar lo
kay ghar ka ghar hi jal jaye

tumhin kis nay kaha thaa??
kay aik anjanay safar Main
ajnabi rah rooo kay hamraah door tak niklo
aur itni door tak



kay woh rasta badal jaye
KIS KO MALOOM THA
Yonhi chaltay hoay raston Main kai hum safer jo milay
Aur bichertay gaay
Aatay jatay hoay mosmon ki tarhan
App hi apni gard e safer hogaay
Na kabhi Main nay phir mur ker dekha unhain aur na socha kabhi
Wo kahan kho gaay
Jo gaay,so gay
Phir yah kaisay hoa
Yon hi ik ajnabi,dekhtay dekhtay
Dil Main utra,nazar Main sama sa gaya
Aur dhanak rang jazbay saja sa gaya
Jaisay badal koi,bay irada yon hi,meri chat pay ruka
Aur bersay bina is per thera raha
Kia tamasha hoa,samnay thi nadi aur koi tashna lab
Is ko takta gia aur pyasa sa raha

Aik lamhay Main simtay gi yah dastaan
Kis ko maloom tha!tum milo gay mujhay is tarhan bay guman
Kis ko maloom tha!
Shiddatain...

Bay tahasha hai tujhay yaad kia
Aur bhulaya bhi bohat hai tujh ko
Sari rounaq hi teray dum say hai
Aur teray bikhray huay ghum say hai

Jis qadar
Mainay talluq tera mehsoos kia
Itni gehraayi tu rohoun Main hua karti hai
Jis qadar
Mainay teri zaat ko khud Main paaya

Itni yaqtaayi kahan milti hai
Faaslay waq''atain kho bethay hain
Doriyaan pheeki parheen
Itni shiddat say tujhay socha hai
Itni shiddat say tujhay chaha hai
Shiddatain ishq ki miraaj hua karti hain!!
Mujhe khabar thi
zamana chahay bura hi samjhe
bhalay se ghar Main mukhalfat ho
tumharay logoN ko na-pasand ho
tumhaiN to mujh per yaqeen ho ga
magar mujhay kuch khabar nahi thi
tumhari aaNkhoN ki unsiat bhi
ik ajanabiat se dekhti hai
ye waqt mushkil tareen hai na
suno!
Main majboor ho gaya hooN
ye sochne per......... ye poochne per
tumhain to mujh per yaqeen hai na??...
yeh Na Ho Kahein tujh ko
La,jawab kar Doon Main


kuch sawal Rehne Dy,
kuch jawab Rehne Dey
Wo tum na thay ik khayal tha..
meri soch ka hi ik kamal tha..
Wo mohabbatain wo chahatain..
meri uljhanon ka hi jaal tha..
mere dil mein thien jo ronaqain..
wo tera hi husn-o-jamal tha..
mujhe jawab jis ka mila nahi..
wo aisa hi ik sawal tha..
use yaad kaise na karain hum..
use bholna tou muhal tha..
wo aj gaya tou ahsas hua..
kis kadar mujhe us se pyar tha..
ab uss ki kia Main misaal don..

WO AP APNI MISAAL AP THA....!!!!
dard ke beez mere seene me laga gaye the tum,
apne ashqon se unko Main seench raha hu,
shyad jo baat labon se kahna hi mumkin nahi hai,
aise jasbaat ke liye shabd doondh raha hu,
jinki mafi is jahan me mila nahi karti,
muddat se ek aisa gunha kar raha hu,
nadani bhi kaisi ye dile nadan kar raha hai,
ki jin nulkilon patthron ki raha se guzar aaya,
usi raha par kadmon ke nisan doondh raha hai,
zindgi ki is raha me zindgi kab milegi………,
har gujarte lamhe se bas yahi poonch rah hai