tumhin kis nay kaha tha

tumhin kis nay kaha tha
tumhin kis nay kaha tha
dopahar kay garam souraj ki taraf deekho
aur itni dier dekho !!
kay beenaye pighal jaye!!!

tumhin kis nay kaha tha???
aasmaan say toot ti andhii uljhti bijlyon say dosti kar lo


aur itni dosti kar lo
kay ghar ka ghar hi jal jaye

tumhin kis nay kaha thaa??
kay aik anjanay safar main
ajnabi rah rooo kay hamraah door tak niklo
aur itni door tak



kay woh rasta badal jaye
  

Jun, 03 2010     418 chars (3 sms)     2888 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Wo Hans Dia
Meri
Dastan-E-Ghum
Ko Sunte Sunte . . . . .

""

Shayed Us Ko
Zamane Main
Kisi Ne Dhoka
Nahi diya.''?
Itna roya hoon k ab aankh main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Jub to khush ho to zeest ka
Her lamha muskarata hai
Mari maan kay aangan ka
Her phool khil sa jata hai
Terey Chehrey K Naqoosh Aisey Hain
Aankh Uthata Hoon! Bhatak Jata Hon
Teri Aankhon Se Terey Honton Tak
Safar Itna Hai Keh Thak Jata Hoon
Kuch Bay Jaan Umeedain Hain Zinda!
Kuch Hasratain Hain Baqi!
Toota Tu Buhat Kuch Hai Mujh Main!
Haan Per Kuch Sambhalna Hai Baqi!
gul shaakh se bicharray to kahein ka nahi rehta "MOHSIN"

tum khud ko judaa meri zaat se kuch soch k krna...
Miley Kaisey Sadiyoun Ki Pyaas Aur Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Badri Dilrubaa Hai Yeh Saari Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Kahaan Sey Chalaa Thaa Judai Ka Saaya, Nahien Dekh Paaya
Kay Rastay Mein Thi Aansoyoun Ki Rawaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Hawa Yeh Khabbar Tou Sunaati Rahey Aur Mein Suntaa Rahoon
Badalney Koo Hai Ab Yeh *Mousum Khizaani*, Zara Phir Sey Kehnaa

Mukar Jaaney Waala Kabhi Zindagi Mein Khusi Phir Naa Paaye
Younhi Khattam Kar Lein Chalo Yeh Kahaani, Zara Phir Sey Kehnaa

Samay Kay Samandar! Kaha Tu Ney Jo Bhi, Suna Par Naa Samjhe
Jawaani Ki Nadi Mein Thaa Taiz Paani, Zara Phir Sey Kehnaa
Na koi manzil hai na kinara hai koi,

Tanhai hai mehfil or yadein hai sahara

Us se bichad kar kuch yun waqt guzara,

kabhi Zindagi ko tarse

kabhi maut ko pukara.
uski berukhi ne cheen li hain sharatain meri"

"log samajhty hain main sudhar gaya hon!!!
jb ksi bhule hue dukh pe nazar per jae
ashk ho jate hn aankhon se rawan sham ke bd
Aankh pe farz hai, hur waqt sawaali rehna

Iss ko sajta hi nahin, ashk sey khaali rehna
wo jin ko teri qurbat main bhool bahte thy.
wo log teri judai k baad yaad aye.
hum itne bhi gaye guzre bhi nahi thy jaan faraz.
keh tujh ko sari khudai k baad yaad aye.