Main SMS Messages3698 messages

Mujh Ko uljha Huwa rehne Do MuQadar ki Tarah


Main Teri Zulf nhi k jo Sunwar jaonga.


Yaad aonga Zikar wafa me ,Main B



Ashk ban kar tere Ankhon me utar jaonga
Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani Main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay Maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Chahay janay ki Hasrat kisay Nahi Hoti,

Magr Har kisi ki Aesi kismat Nhi Hoti,


koi Ak Hota Hai jo Sama jata Hai DilMain,


Har Kisi se To Yonhi MOHABAT Nhi Hoti.
Meri Ankhoon Kay SAmandar Main Jalan kaisi Hai
Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai

Baraf Kay Roop Main dhal Jain Gay Saray Rishtay
Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai

Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Thakan Kaisi Hai

Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai

Mujhe Masoom si Pagal Larki Pay Taras ata hai
ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
Pas Rah Kr Judai Ki Tujh Sy
Door Ho Kr Tujhy Talaash Kiya
Main Ny Tera Nishan Gum Kr K
Apny Ander Tujhy Talassh Kiya
Baarishon ke mausam Main Waqt ke andheron Main
Maine us se poocha tha Chorr to na jaoge

Haath tham ker us ne Kaan Main yeh bola tha
Kaise chorr sakta hoon Tum to Jaan ho meri

Aur aaj aisa hai Waqt ki tamazat Main
Wehshaton ke Mausam Main Maine us se poocha hai

Chorr kar hi jaana tha Muskurati galiyon Main
Aas kyun dilayi thi Pyaas kyun jagayi thi

Mere in sawalon per Na woh chonka na woh thehra
Chalte chalte itna kaha Mausamon ke khel hain sab
March April k din bhi
Kitny ajeeb hoty hain
Jab jab phool khilty hain
Dil murjhany lagty hain
Kuch bichre loog yaad anaye lagty hain
Yuun to bhari bahaar Main her tarf khushbu hoti hai
Dil ko na jany kiss ki justajuu hoti hai
Jab bhi yah mahkii fizaain ati hain
Guzra waqt yaad dilaati hain
Yeh jo her tarf gull khily hoty hain
Dil Main yadoon k nishter chabooty hain
Koon kahta hai
Baharain khushyaan latiin hian
Yah to Udasioon se daman bher jati hain............
tu nain daikha hai kabhi ik nazar shaam k baad
kitny chup chaap say lagty hian shajar shaam k baad

tu suraj hai tujhay kahan maloom raat ka dard
tu kisi roz meray ghar Main uter shaam k baad
Itna roya hoon k ab aankh Main pani bhi nahi

Main ney yeh baat magar usko batani bhi nahi

Sirf aankhain jo ban jayain to yeh bhi hai bohat

Puree tasveer mujhe uski banani bhi nahin

Zindagi! ab to taluq ki yehi surat hai

Tujh se rakhni bhi hai aur tujh se nibhani bhi nahi
Ek Lamha Lagta Hai

Zindagee ki raahon Main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay Main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay Main nay bhi
phool le lia us say
haath haath Main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay Main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay Main
Tumhara naam leta hon
To saanson Main mohabbat ki
Kai perten ulat''ti hain
Tumhen aankhon Main bharta hon
To aankhon se shua''en noor ki
Bahir nikalne ko tarsti hain
Tumhen sochon ki mutthi Main jakarta hon
To saare jism Main thandi hawaen chalne lagti hain
Abhi wazeh nahi mujh per......
Ky Main chahat ki kitni manzilen teh ker k
Is manzil pe pohancha hon
Abhi wazeh nahi mujh per........
Ky meri soch aisi hai
Ya teri zaat Main koi shabistaan sa ujala hai
Mager ik baat wazeh hai.......
Ky teri zaat ki mojodgi
Mere liye jeene ka iklota sahara hai
Meri sochon ka mehver hai
Mere jeene ka hasil hai
Agar tujh ko meri sochon se minhaa ker diya jaaye
To!!!!!
Baqi kuch nahi bachta
Yehi ik baat wazeh hai.
Kiya baat kaho on ankhoo ki
Jin ankhoo pe Main marta hoo
Woh ankhien jheel si ankhien hain
Jin Main doob ke rooz ubharta hoon
Mujhey dekhney ke liyeh uthti hain
Miltey hi nazar woh jhukti hai
Saarey jaha Main aisi ankhien nahi
Jin akhoon pe Main marta hoo
In ankhoo Main koi ansoo na aaye koi
Kabhi koi ghum na pass aaye koi
Sada muskuratien rahey yeh
Har dum yeh dua Main karta ho hoon
Kiya baat kaho un ankhoo ki
Jin ankhoo pe Main marta hoo