Khan SMS Messages474 messages

Mere hUm SuKhan Ka yeH huKam Tha,
k KalaM Us sE MeIN Ki0n Kar0oN,
mErE hoNT AisE SiLaY PhIR,

MeRi CHuP nE uS k0 RuLa DyA...
Khoshion Se Naraz Hai Meri Zindagi,
Pyar Ki Mohtaaj Hai Meri Zindagi,
Hans Laite Hain Dunya Ko DiKhaney K Lye,
Warna Dard Ki Kitab Hai Meri "ZINDAGI"...
taqseem-E-Mohabbat Mein Kuch Gham Hee Mile
Phir B Shikayat Hai K Dukh Kam Hee Mile
Ae Zindagi Ek Baat Bata Zara Humy
Kia Dil DuKhane K Liye Tujhe Ham Hee Mile
Ek din tujse rutkar dekhna hai,

tere manane ka andaz deKhana hai.

abhi to do pal hi sath chale ho,

kab tak tum sath chaloge,

ek din yeh bhi dekhna hai.
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo deKhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
Usay kehna mujhe tanhaiyon mein darr sa lagta hai


Tujhe jab sochta hoon to dil mein ik Khanjar sa lagta hai

tumhare hi khayaalon mein, main aksar mehv rehta hoon

nikal aaoon to ye mahol banjar sa lagta hai...
Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai ranj-o-Gam ne paalaa hai
gulon ne beruKhii kii hai to kaaNTon ne sambhaalaa hai

muhabbat men Khayaal-e-saahil-o-manzil hai naadaanii
jo in raahon men luT jaaye vahii taqadiir vaalaa hai

charaaGaaN kar ke dil bahalaa rahe ho kyaa jahaaN vaalo
andheraa laakh raushan ho ujaalaa phir ujaalaa hai

kinaaron se mujhe ai naaKhudaa duur hii raKhanaa
vahaaN lekar chalo tuufaaN jahaaN se uThane vaalaa hai

nasheman hii ke luT jaane kaa Gam hotaa to kyaa Gam thaa
yahaaN to bechane vaalon ne gulashan bech Daalaa hai
Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah Khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Suna Hai Ghair Ki Mehfil Main Tum Na Jao Ge


Kaho Tou Aaj Saja Loon Ghareeb Khane Ko
Sunane ko bheer hai sar-e-mahashar lagii hui,
Tohamat Tumhaare ishq ki ham par lagi hui,
Rindon k dam se Aatish-e-mai k bagair bhi
Hai Maikade main Aag Baraabar lagi hui,
Jiite the yun to Pehale bhi ham jaan pe khel kr,
Baazi hai ab ye Jaan se Barh kr Lagii hui,
Laao to Qatl_Naamaa mera, main bhi dekh lun,
Kis Kis ki muhar hai Sar-e-mahazar lagi hui,
AaKhir ko aaj Apane lahuu par hui tamaam,
Bazi Miyaan-e-Qaatil-o-Khanjar lagi hui
Mairy marnay kay baad mairee anKhan kholee rahe

FARAZ

q kay mujy adatt see ho gaie thee tary intazar ki
Janaza Mera Uth Raha Tha,






Phir B Takleef Thi Unko Aanay Mai,







Bewafa Masjid Mai Baithay Poch Rahay Thay,







Aur kitni Dair Hai Khanay Mai.