Khan SMS Messages474 messages

Kachi Deewar

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko



Tum ko Aankho Mai Tasawwoor Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mai Dharkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh ko



Baat Karnae Mai jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mai
Mai Samajh Jaaonga Nazron Se Bataana Mujh ko



Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khawab Pura jo na ho wo na DiKhana Mujh ko



Apne Rishtey ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Mai to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh ko



Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh ko
Apni Nazron Mai Basa Ker Na Giraana Mujh ko
Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana Kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana Kitna Acha Lagta Hai

Main Apna Fasaana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon
Achi Yaadon Ka Duhrana Kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana Kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena Kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna Kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Laikin Kuch Batoon Ka Hona Kitna Acha Lagta Hai
Buhat Si Kitabein
Buhat Si CDs Aur Cassetes
Buhat Si Betuki Oppointments
Doston se Phone Par Lambi Taweel Guftagu
Yah Phir Uljhi Rahon Par Chalte
Yonhi Waqt Bitana
Be Simat Raston Par Bewajah Khaak Urana
Yah Phir Net Ke Uljhawon Mein
Be Tarah Khud Ko Uljhana
Baat Be Baat Hansne Ke Bahanay
Buhat Hain Khush
Duniya Ko DiKhane Ko
Kitne Bahane Dhoondta Hai Dil
Faqat Usse Bhoolane Ko..........!
Hum na samjhe tere nazroon ki taqaza kya hai...
Kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai...

Mujh ko madhosh sa ker rakha hai tere aankhon ne...
Warna ae Saaqi tere meh Khane mien rakha kya hai...

Dekh laila tere majnoo ka kaleja kya hai...
Khak mien mil k bhi kehta hai k bigra kya hai...

Ye surahi sa badan le k mere samne na aa...
Main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai...

Aapne honton ko mere honton se chone to de...
Aik do ghoont se bottle ka bigarta kya hai...
Har darKhan k sath dil
tera naam leta hai,

Tera khayal meri tooti sansoon ko tham leta ha,

Jab bhi tanhaeyan
Satati hai,

Tera tassawor mera haath thaam leta hai.>
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujh Ko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujh Ko

Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujh Ko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujh Ko

Vaada Utna Hi Karo Jitna Nibha Saktay Ho
Khawab Poora jo na ho woh na DiKhana Mujh Ko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Bharam Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujh Ko
Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko DeKhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
Na mila dil ka
Qadardan is Zamaney mein

Yeh Sheesha
Toot gaya dekhney aur DiKhaney mein

Sochta hon 1 roz
"Shamma" say puchun


Maza ki mein hai
" JALNEY MEIN YAH JALANE MEIN"
hum na samjhe nazroon ki taqaza kya hai... kabhi jalwa kabhi parda ye tamasha kya hai... mujh ko madhosh sa ker rakhi hai tere aankhon ne ... warna ae saaqi tere mah Khane mien rakha kye hai.... dehk laila tere majnoo ka kaleja kya hai... khak mien mil k kehta hai k bigra kya hai... ye surahi sa badan le k mare samne na aa.... main sharabi hoon sharabi ka bharosa he kya hai....
Masoom muhabat ka bas itna fasana hai,
Karaye ki cycle hy aur tire b porana hy

Sarak hai ya khadon ka tayKhana hai,
Ganti b toti hy aur bachay ko b hatana hy

Paidal admi ko catne ki umeed boht kam hai,
Cycle b purani hai aur penkchar b lagana hai

Pohanchy ya na pohanchay apni manzil pe,
ik shaks ko cycle se gher b pohanchana hai,

Bholi si ada koi phir ishq ki zid per hai,
Karaye ki cycle hai aur time pay jana hai...
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm Khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee
kabhi zid kr k aur kabhi Khana na Khany ki dhamki dy kr
aur phir fakhar kea krta
mezaj main hat dharmi aur zid tuu ab b wesi hi ha
lekin hat dharmi aur zid sehny wala koi nahi
dhamki b dy sakta hon
lekin dhamki main any wala koi nahi
es k bawjud
jo kuch b chaha ha jesy tesy hasil kea ha
aur duniya ki beshumar nemat''ain muyasar hain
magar
wo lamhy jo beet gay
aur waqt jo guzar gaya
kahan say laa''on aur kis say mangon??