Khushii ne mujh ko

Khushii ne mujh ko
Khushii ne mujh ko Thukaraayaa hai ranj-o-Gam ne paalaa hai
gulon ne beruKhii kii hai to kaaNTon ne sambhaalaa hai

muhabbat men Khayaal-e-saahil-o-manzil hai naadaanii
jo in raahon men luT jaaye vahii taqadiir vaalaa hai

charaaGaaN kar ke dil bahalaa rahe ho kyaa jahaaN vaalo
andheraa laakh raushan ho ujaalaa phir ujaalaa hai

kinaaron se mujhe ai naaKhudaa duur hii rakhanaa
vahaaN lekar chalo tuufaaN jahaaN se uThane vaalaa hai

nasheman hii ke luT jaane kaa Gam hotaa to kyaa Gam thaa
yahaaN to bechane vaalon ne gulashan bech Daalaa hai
  

Jun, 02 2010     559 chars (4 sms)     2611 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bus ik zara khayal is dosti ka tha,

warna bohat gila teri berukhi ka tha,

mujhko laga me bhi teri zindagi mei hoon,

per yeh to koi dokha meri saadgi ka tha.
Kitni mohbhat hai tumse humse bataya na gaya,

shyad tum samaj n sake ya humi se samjaya n gaya.

Tumne karib aane ki koshish na ki

aur humse haath badhaya na gaya.
Phool Apni Khaslat Pay Baybus hain kitnay''m0hsiN''

Toornay walay ko Bhi khushbo ki Saza daitay haiN.
Tu Nafrat Ki Aag Pe Aik Aanso Baha K Dekh
Mohabbat Kitna Wazan Rekhti Hai Usko Azma K Dekh
Wo Roth Jaye Tujhse Bari Baat Nhi Hai
Tu Hans K AIk Baar Usey mana k Tou Dekh
Kitno Ki Taqdeer Badalni Hai Tumhein
Kitno Ko Rasto Pey Lana Hai Tumhein
Apni Hath Ki Lakeron Ko Mat Dekho
In Lakeron Say Agay Jana Hai Tumehin
Is Shab k Muqadar Main Sehr Hi Nahi Mohsin







Daikha Hai kai Baar Charaghon Ko Bujha Ker
shayari ki kya baat karte ho ......
hum bhi kabhi shayar they ...........
aaj humari bahadhuri ke charche hein to kya ......
hum bhi kabhi kayar they..................
Kashti k musafir ne samander nhi dekha

Ankho me raha dil me utar kr nhi dekha

Pather samjhte the mere chahne wale

Par mom tha mai kisine chu kr nhi dekha
un se dori b bahar,hal qyamat thi magar.

un ko pa kr b chean na aya ye qissa kay he?

Kyun yaad tum itna aate ho...?
Kyun hum ko tum tarpaate ho...?

Gum sum gum sum hain aaj sahar se hum...
Kyun itna hamain sataate ho...?

Aadi hogaye hain us sitam ke hum...
Jo aadatan humpe dhaate ho.

Tumhain khayaalon se gar nikaal bhi dain...
To khwaabon main aajaate ho.

Hum lab se nahin karte izhaar-e-mohabbat...
Tum aankhain hii nahin parh paate ho.
Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey Charagh, Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!!
Usko Chaha to mohabbat ki samaj aayi Faraz

Warna is lafz ki tareef suna kerte they.