Karte SMS Messages381 messages

Fasle tu bus kamzor dil log’n ke liye hi,
Khoof aur be-chaini hote hai…
Aik zameen per millon aur kooso’n ki doori..
Muhabbat ko shikast nahi de sakti..
Hijer jitna bhi kada ho..
Aur doori jaisi bhi doori ho…
Chahtein aur siwa ho jaya Kartein hai..
Gaihri aur mehrbaan raato’n ki qasam…
Main chahe jahan bhi ho,n
Aik aise khoole darwaaze ki maanind ho’n..
Jis ki daihleez per tumhaare qadam likhe hoye hain..
Aur tum jahan bhi ho…Mere liye kisi bhi mushkil ghadi mein..
Shayari tau hum bhi apne,
DIL - O JAAN se likha Karte hai....

Dil mai basi uss,
DIL - O - JAANAM ke liye likha Karte hai....

Chahat tau hum mai bhi hai kay,
Apni shayari say unka dil jeet lay

Isiliye tau har roz,
Unke baare mei kuch KHAAS likha Karte hai....
apne hoontoon pe sajaana chaahta hoon
aa tujhe main gungunaana chaahta hoon


koi aansoo tere daman par gira kar
boond ko mooti banaaana chaahta hoon

thak gaya main Karte Karte yaad tujh ko
ab tujhe main yaad aana chaahta hoon

chaa raha hai saari basti main andhera
roshni ko ghar jalaana chaahta hoon
log mujhe kehte hain
ki tum kyu apne pyaar ka izhaar nhi Karte??????

maine kaha jo 3lafzo main bayaan ho jaae
sirf itna hum unse
PYAAR Nhi Karte

Kyun yaad tum itna aate ho...?
Kyun hum ko tum tarpaate ho...?

Gum sum gum sum hain aaj sahar se hum...
Kyun itna hamain sataate ho...?

Aadi hogaye hain us sitam ke hum...
Jo aadatan humpe dhaate ho.

Tumhain khayaalon se gar nikaal bhi dain...
To khwaabon main aajaate ho.

Hum lab se nahin Karte izhaar-e-mohabbat...
Tum aankhain hii nahin parh paate ho.
Aankho Me Aansu Bhi Hai Muskaan Bhi
Dhaago Me Gaathe Bhi Hai Sandhaan Bhi

Ye Dil Me Kaisee Kasak Hai…
Meri Chaahat Ajeeb Hai,Naadan Bhi

Sawarte Bhi Gaye Kabhi,Kabhi Bikhre Bhi
Khamoshi Hai Kabhi,Kabhi Tanhaai Bhi

Ye Kaise Aalam Me Rehne Lage Hum
Hasaate Hai Apne Aapko,Kabhi Rulaate Bhi

Dhoka Detaa Hai Kabhi Waqt,Kabhi Kabhi Kismat Bhi
Hum Inkaar Karte Hai Kabhi,Kabhi Izhaar Bhi

Naa Chedo Hume Hum To Gum Ho Chuke
Khuli Kitaab Bhi Hai Aur Band Kahaani Bhi
Meri Dharkano Me Aap Ka Hi Raaz Hoga
Meri Baat Ka Bus Yehi Andaaz Hoga
Khabi Be-Wafai Nahi Karte Dosti Me
Hamari Dosti Pe Aap Ko Hamesha Naaz Hoga
Unke husn ke charche logo se suna Karte hai,
mehfil me unke aane ke bahane dhunda Karte hai,
deedar jo unka hua to hum bhi ho gaye kayal,
ab is bemishal husn ko bayan karne k alfaz dhunda Karte hai.
tere sath chalna meri zindagi hai,
tere pyaar mein jalna meri zindagi hai ,
khushi ki koi ghaddi, ho ya gam ka koi pehlu,
tujhe he yaad Karte rehna meri zindagi hai ,
tera naam marte dum tak meri zuban per rahe ga ,
tera he naam lete rehna meri zindagi hai,
teri muskrahat ne mujhe jeena sikha diya,
teri muskrahat hi to meri zindagi hai...........
Apko dil se salaam Karte hain,

subah ka har lamha apke naam Karte hain.

Ye aur baat hai ki aap se thoda door hain hum,

magar yad to subah sham Karte hain.
Wada Karte hai Dosti nibhayenge,

Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge.

Jarurat pade to DIL SE pukarna,

kisi aur ke DIL me honge to bhi chale aayenge
“Dil ki Batain , bata deti hain , Aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain, Aankhen ,

Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,Aankhen,

Woh hum se baat nahi Karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain Aankhen,

Gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain Aankhen,

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain Aankhen,

Ma na ke Neend aati hai , Aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain Aankhen,

SAGAR shukar hai , Khuda ne Ata ki , Aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-Gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain Aankhen