Karte SMS Messages381 messages

kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal Karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
Har Kisi se Nazar milaya nahi Karte,
Youn kisi se dil nahi Karte,
bahut poochenge log tumse hamari baatein,
yeh dil ki baatein hai,har kisi ko bataya nahi Karte
Sab Kuch Milta Hai Is Jahan Mein Amjad
Nahin Milta To Guzra Hoa Pal Nahin Milta

Kartey Rahe’n Ge Younhi Sairab Zameene’n
In Aansoo’n Ko Ab Koi Aanchal Nahin Milta

Ghurbat Mein Mayyasar Kahan Khushion Ki Dilbari
Sehra Mein Kisi Ko Kabhi Baadal Nahin Milta

Kahney Ko Gham Khowar-o-Chara Saaz Hain Bohat
Amlann Kisi Ke Saath Koi Shamil Nahin Milta

Ham Imaan Ki Dolat Liye Shahadat Ke Muntazir
Hamari Safo’n Mein Koi Buzdil Nahin Milta.
main kachi nind main hun
aur apne nim khwabida tanaffus main utarti
chandani ki chap sunti hun
guman hai
aj bhi shayad
mere mathe pe tere lab
sitare sabat Karte hain
Log aate hain log jate hain

Pyar dete hai pyar le jate hain

Kabhi akele baithkar sochna,

Jo sabse zyada pyar Karte hain

Wohi sabse zyada dard de jate hai
Aashk Ban Kr Ankho Se Behte Hai

Behti Ankho Se Unka Deedar Karte Hai

Mana K Zindgi Me Unhe Pa Nahi Sakte

Fir B Hum Unse Bahut Pyar Karte Hai
Jab tak lafz wazu nahi Karte,
Hum apki guftagu nahi Karte,
Kuch dil ka rishta aisa hai ap se,
Jis dua mein ap na hon,hum aisi dua nahi Karte...
Kehney Waalo''n Ka Kuch Nahi Jaata,

Sehney Waaley Kamal Kartey Hain

Dardo''n K Jawab Kon Dhoondhey,

Log Tou Bass Sawal Kartey Hain...
Umar Se Insan Badal Jate He

Waqt Se Tufan Badal Jate He

Sochte Hai Aapko Itna Yaad Na Kare

Lekin
Aankh Band Karte Hi
Armaan Badal Jate He
hai payaar unko hum se itna tu yaqeen hai hume.
wo inkaar bhi Karte hain tu ankhain saath nahi dati.
Aaj Tak Jo HUM Tumse Keh Na Sake .. Aaj Wazahat Se Iqrar Karte Hain .. Jise Tum Rooz Dekhte Ho AAINAY Main Isse HUM Bepanah Piyaar Karte Hain ..
Jo na hua kbhi wo ek raat ho gya ,


Chand ko Suraj se pyar ho gya ,


Chand Nikla talash mein aur kho gya


Chand k jatay hi aasman udaas ho gya ,


Suraj tou jalta hi raha intizar mein aur aag ho gya ,


Suraj ki khata se chand k lye andhera ho gya ,


Chand ne ki bewafai aur taaron k saath ho gya ,


Sila mila kuch is tarha dono pe girhan ho gya ,


Karte rahay berukhi hamesha k lye ,


Ek ban gaya DIN aur dosra RAAT ho gya..