Karte SMS Messages381 messages

Ab Neend Se Kaho Hum Se Sula''h Karlen Faraz ....
Wo Door Chala Gaya Hai Jisk Liyee Hum Jaga Karte Thay
Chalo Yeh Farz Karte Hain,
K Tum Mashriq,Main Maghrib Hoon!
Chalo Yeh Maan Lete Hain,
Bara Lamba Safar Hai Yeh,

Magar Yeh B Haqiqat Hai,
Tumhari Zaat Ka Suraj,

Bohat Sa Raasta Chal Kar,
Meri Hasti Mein Doobay Ga.
Kismat Ke Maaro Se Pyaar Kiya Nahi Karte,

Darr Darr Ke Hum Kabhi Jiya Nahi Karte,

Dil Tutne Ka Darr Unko Hoga,

Jo Bichadne Ke Darr Se Pyaar Kiya Nahi Karte..
Mere Shikw0n Per Usne Hans K Kaha,"Faraz"

Kis Ne Ki Thii "Wafa" Jo Hum Karte...
Yaad Karte Hai Yaaron Ko
Yaadon Se Dil Bhar Ata Hai
Kabhi Sath Jiya Karte The Sab
Aaj Milne Ko Dil Taras Jata Hai
Ye ZiD HaI HuMaRi K Usse Cheen LeIn SaB Se,
HuM AuR ZaMane Se TaQaza NahIn Karte.
HuM Gosha-e-TanhaI MeIn Roo LeTe HeIn AkSaR SaIF.!
HuM ShehaR Ki GaLiyoN MeiN TaMaSha Nahin Karte.~!
Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya

Ab Hum Ne Rona Chor Diya

Jub Rona Nahin To Hasna Kiya

Ab Hasna Hasana Chor Diya

Har Shakhs Ne Hum Ko Zakham Diye

Ab Dil Ko Lagaana Chor Diya

Tum Rootha Karte Thay Hum Se

Ab Hum Ne Manaana Chor Diya

Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain

Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya
K kuch baatein yon bayan Karte ho

Har lafz apnana parta hai

K lakh banae bahane hum

Har bar batana parta hai

K chahte hai hum tum ko

Har bar jatlana parta hai

K mushkil hai jeena bin tere

Har bar samjana parta hai

K apne sub jazbaton ko

Har bar dabana parta hai

K teri baatoon se hud ko

Har bar bahlana parta hai

K teri yaddoon ko dil se

Har bar mitana parta hai

K kuch baatein yon bayan Karte ho

Har lafz apnana parta hai
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem Karte hain kisi ilzam se pahle
Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi Karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi Karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi Karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
Raat bhar pehlo mai bhitha kar yar ko Ghalib
Jo log kuch nai Karte wo kamal Karte hain
Woh waqat woh lamhe Hasin honge,
Duniya mein hum khush Naseeb honge,
Dur se jab itna yaad Karte Hain aapko,
Kya haal hoga jab aap kareeb honge.