Karte SMS Messages381 messages

Raat ko pocha mujse chand sitaro ne
tumko bhula diya tere jigri yaro ne.

Maine kaha k bhule nhi hai faryad to Karte honge,
mera sms padh k yaad to Karte honge.

Written by Piprani
Zubaan se tumhe keh nahi sakte
Isliye hmesha khuda se Fariyaad Karte hai
Jab bhi tumhara Dil jor se dhadke
Samajh Lena hum tumhe
Dil se yaad Karte hai.
Bachpan ke dukh bi kitne ache the,

tab to sirf khilone tuta Karte the.

Wo khushiyan bi na jane kaise khushiyan thi,

titli ko pakad ke uchhla Karte the.

Paoon maar ke khud barish ke pani mae,

apna aap bhigoya Karte the.

Ab to ek aansu bi rusva kar jata hai,

bachpan mein to dil khol ke roya Karte the.
Pyar me mila har gum uphar hota hai,

pyar wo hota hai jisme intjar hota hai.

Sadiyon tak intjar Karte hai wo

jinhe apne pyar pe aitbar hota hai.
Aaj bhi unhe pyaar Karte hain hum,
har pal unka deedar Karte hain hum,
woh na mile uska gum nahi...
par jiyen kaese kyunki aaj bhi utna hi yaad Karte hain hum!
pahonch hai humari chand tak,ye taare bhi salam kiya Karte hai ,ye aasma bhi jhuk jata hai....jab hum aapko yaad kiya Karte hain.
Pyaar karne wale kisi se darte nahi
waffa karne wale kabhi marte nahi
bohat koshish ki humnein pyaar jatane ki
eik tum ho ke mera yakeen Karte hi nahi
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi Karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi Karte,
Hamari to ruh me bus gaye hain aap,
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi Karte
Us k saath rehte rehte chahat si ho gai
Us se baat Karte Karte humain aadat si ho gai,
Aik pal na mile to becheni si lagti hai,
Dosti nibhate nibhate usay MOHABBAT si ho gai . . .
1 janaze ko dek k ladki muskrayi,
baba bola-beti jawaan maut pe u muskaraya nhi Karte,
beti boli" baba, wada kiya tha jab bhi milenge muskurayenge".
THIS IS LOVE
Ab kiya likhein hum kagaz par
Ab likhne ko kya baqi hai
Ek dil tha so wo toot gaya
Ab lutne ko kya baqi hai
Ek shaks ko hum ne chaha tha
Ek rait pe naqsh banaya tha
In rait k zaron ko hum ne
Phir apne dil mein sajaya tha
Or rait to kab ki bikhar gae
Who naqsh kahan ab baqi hai
Ab kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi hai
Hum jin ko apni nazmo ka unwan banaya Karte thay
lafzon ka baan kar taj mahal kagaz par sajaya kartay they
Wo hum ko akela chor giya
Sab rishton se mouh mor giya
Ab rishtay sare sonay hain
Who pyar kahan ab baqi hai
Ab kya likhein hum kagaz par ab likhne ko kya baqi hai
Kabhi kabhi meray dil mein khayal ata hai
K zindagi teri zulfon ki narm chhaon mein
Guzarnay pati tu shadab ho bhi sakti thi
Yeh teragi jo meri zeest ka muqadar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi
Ajab na tha k mein begana alm ho kar
Teray jamal ki ranaeon mein kho rehta
Tera gudaz badan teri neem baz ankhein
Inheen haseen fasanoon mein mehav ho rehta
PuKarteen mujhe jab talkhiyan zamanay ki
Teray labon say halawat k ghoont pee leta
Hayat cheekhati pherti barehna sir aur mein
Ghaneri zulfon k saya mein chhup k jee leta