Kaha SMS Messages1166 messages

Sirf yaadon ka ek silsila reh gaya,

Khuda jaane unse hamara kya rishta reh gaya

Ek chand chup gaya jaane Kahan

Ek sitara usey dhundta reh gaya.
Kya hua jo tumhara saath nahi
Mere hathon main tumhara haath nahi




Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat main zaroori mulaqat nahi




Main sari umar tarsa hon chahat ke liye
Mere naseeb me shayad ye soghat nahi




Iss andaaz se bikhar kar phir simat na saka
Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi


Jis ki DOSTI peh naz thaa, wo DOST bhi gaya
Kis qarb se Kaha us ne koi baat nahi
Kya hua jo tumhara saath nahi
Mere hathon main tumhara haath nahi


Mere liye tumhari yaadein hi kafi hain
Muhabbat main zaroori mulaqat nahi


Main sari umar tarsa hon chahat ke liye
Mere naseeb me shayad ye soghat nahi


Iss andaaz se bikhra k phir simat na saka
Mujhe samaitne wala hi koii haath nahi

Jis ki DOSTI peh naz thaa, wo DOST bhi gaya
Kis qarb se Kaha us ne koi baat nahi
zikr-e-shab-e-firaq se vehshat use bhi thi
meri tarah kisi se muhabat use bhi thi

mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalane ki aadat use bhi thi

us raat der tak vo raha mahv-e-guftagoo
masroof main bhi kam thaa faragat use bhi thi

sunta tha vo bhi sab se purani Kahaniyaan
taza rafaqaton ki zaroorat use bhi thi

mujh se bichar ke shaher main ghul mil gaya vo shaKhs
haalaa ke shahar bhar se raqabat use bhi thi

"KASH"na jan khud ko nakaam kay bad zouq,
woh mana nahi par tujh say mohabbat usay bhi thi,

vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha ji gaya
varna har ek saans qayamat use bhi thi
Sochta Huun k Usay bhi Neend Aati Ho gi
Ya Meri Terha Faqat Ashk Bahati Ho ti
Wo Meri Shakal Mera Naam bhoolne Waali
Apni Tasweer se ki aaankh milati ho gi
Is Zameen Per bhi hai Sailab Mere Ashko''n Se
Mere Matam Ki Sada Arsh Hilati Ho gi
Shaam Hote Hi Chaukhat pe Jala Ker Shamae''n
Apni Palkon Pe Kai Khuwab Sajati ho gi
Us ne Silwa Bhi Liye Honge Siyah Rung k Libaas
Ab Moharram Ki Terha Eid Manati ho gi
Hoti Hogi Mere Bosay Ki talab Main Pagal
Jab Zulfoon Main Koi Phool Sajati Ho gi
MEre Tareek Zamano Se Nikalne Waali
Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati ho gi
Dil Ki Masoom Ragain Khud hi Sulagti Hongi
Junhi Tasweer Ka Kona wo Jalati Ho gi
Roop De Ker Mujhe Us main Kisi Sehzaade ka
Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunaati Ho gi
Kya Kahe ki Kuch Kaha Nahi jaata,
Dard-Meetha hai par Saha Nahi jaata,
Dosti Ho gayi hai is Kadar aapse ki,
Bina yaad kiye Raha Nahi jata?
Dewana hai tere naam ke is baat sa inkar nahin kasa Kaha humha aap sa pyar nahin kuch tu kasoor aap ki adaa ka ha hum aakla tu gunhegar nahin
muhabbat khud batatee hai Kahan kis ka thikana hai
kisay ankhon mein rakhna hai kisay dil mein basana hai

riha karna hai kis ko aur kisay zanjeer karna hai
mitana hai kisay dil say kisay tehreer karna hai

ghironda kab girana hai Kahan tameer karna hai
issay maloom hota hai safar dushwaar kitna hai

kisi ki chashm-e-giriya meain chupa iqrar kitna hai
shajar jo girnay wala hai woh saaya daar kitna hai

safar ki har saobat aur tamazat yaad rakhti hai
jissay saraay bhula dalain muhabbat yaad rakhti hai
Tanha si zindzgi me tanha hai har rasta ,
dosto yaaro se jaise toota ho vasta,
sabhi hain saath par najane kiski kami hai,
itni khushiyo me najane kaisi gami hai.
Kyo patjhad me sawan ka deedar karti hoon,
kyo har ghadi sirf tera intezaar karti hoon,
tu kaun hai Kaha hai, is sab se anjaan hoon,
kya teri tarah ,main bhi tera armaan hoon.
Tu na aa ,magar aane ka vada to kar,
meri andheri zindagi me thoda ujala to kar,
teri aas me najane kab se nahi soi,
teri yaad me najane kitni raate roi,
ab apni khushi se mera gam aadha to kar,
tu na aa magar aane ka vada to kar.............
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likhne ko kiya baki hai
Ik dil tha su wo tuth giya
Ab lutne ko kiya baki hai

Ik shaks ko hum ne caha tha
Ik reet pe naqsh banaya tha
In reet ke zarun ko hum ne
Phir apne dil main sajaya tha
Wo reet tu kab ki bikhar gay
Wo naqsh Kahan ab baki hai
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai

Hum jin ko apni nazmoon ka
Unwan banaya karte the
Lafzun ka bana kar taj mehal
Kagaz par sajaya karte the
Wo hum ko akela choor gay
Sab rishtoon se mun murr gay
Ab rishte sare sune hain
Wo piyar Kahan ab baki hai
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai
,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,
Na puch mere sabar ki inteha Kaha tak hai,

tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

hume to dekhna hai tu bewafa Kahan tak hy
Kabi na shikayt ki baat labon pe layenge,

Kaha hai Dost to Dosti nibhayge.

kabhi hamari burai hamare samne karna,

kasam khuda ki hum bi apki han me han milayenge.