Ab kiya likhein hum

Ab kiya likhein hum
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likhne ko kiya baki hai
Ik dil tha su wo tuth giya
Ab lutne ko kiya baki hai

Ik shaks ko hum ne caha tha
Ik reet pe naqsh banaya tha
In reet ke zarun ko hum ne
Phir apne dil main sajaya tha
Wo reet tu kab ki bikhar gay
Wo naqsh kahan ab baki hai
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai

Hum jin ko apni nazmoon ka
Unwan banaya karte the
Lafzun ka bana kar taj mehal
Kagaz par sajaya karte the
Wo hum ko akela choor gay
Sab rishtoon se mun murr gay
Ab rishte sare sune hain
Wo piyar kahan ab baki hai
Ab kiya likhein hum kagaz per
Ab likne ko kiya baki hai
,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,.,
  

Jun, 07 2010     668 chars (5 sms)     2347 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

jiski aarzoo thi wo dilbar na mila,
barso jiska intezar kiya wo pal na mila,
ab sochte hai kya ajeeb khel ye pyar ka,
kisi ko hum na mile aur koi hume na mil
Salamay ishq ko hum bhi salam kartay,
Humay bhi tumhara pyar bhara salaam chahiye,
Doosro ke likhi hooi shayari nahin,
Tumhari dil se nikli hui pegaam chahiye.
Ye Meri Wafa Ki Hyn
Wehshatai''n Mujhy
Ikhtiar-e-Junoon Nhi

Jahan Naam Hum Ny
Suna Tera Wahii''n Sir
Ko Apne Jhuka Dia ... !!
guwara nae hai agar tumhe mere suraat
duwa hai tumhe me nazar hee nae ahon
chala jayo ga me tere yaad le kar
kaha piyar ki tum ko dulaat mele gey....
Chehra mera tha,nigahen uski
Khamosi mein bhi wo baten uski
Mere chehre pe ghazal likhti rahi
Sher kehti hui ankhen uski
Aise mausam bhi guzare hamne
Subah jab apni thi shamen uski
Neend is soch mein tuti aksar
Kis tarah katati hai raten uski
Dur rehkar bhi sada rehti hai
Mujhko thame hue bahen usk
Mera Humraaz Hai Har Rang Ka Mausam Lekin.
/
Sham-e-Afsurdah Mujhe Sab Sey Juda Janti Hain.
Yu Lagta Hai Ki Sirf Chalte Rahne Ki

Dhun Mein Is Safar Ke Maayne Kahin Kho Gaye Hain.

Bas, Chale Ja Rahe Hain

-Kabhie Aadatan,

Kabhie Majbooran
Jo judai mile to woh hai ghum,
Jo dair se mile to woh hai paisa,
Jo kisi kisi ko mile woh hai pyar,
Jo qismat se mile woh hain AAP
US KI BAATAIN TO PHOOL HOON JASAY
BAQEE BAATAIN BABAOOL HOON JASAY
CHHOOTI CHHOOTI SEE US KI WO ANKHEEN DO
CHANMBELII K PHOOL HOON JASAY "
US KA HASS KAR NAZAR JHUKA LAINA
SAREE SHARTEIN QABOOL HOON JASAY
KITTNI DILKASH HAI US KI KHAMOOSHI
SAREE BAATIEN FAZOOL HOON JASAY"
sar nama mere naam ka aur khat raqeeb ka..

zalim tere sitam k hain unwan ajjab ajjab...
App ki mahobbat hum ko ku raj na ayei 2
App ki dushmani hum ko ku itni bha gayi.
Sayad jamane ko kadar nahi hai mahabbat karne walo ki 2
Is liye nafrato se bhari hai ye najar duniya walo ki.
hum to aaj bi us ko ussi tarah chahte hain..

jaise sookha hua darakht barish ka talabgar hota hy.