Kaha SMS Messages1166 messages

kabhi khud bhi merai paas aa
meri baat sun mera sath de
jo khalish hai dil sai nikaal ker
mujhai uljhanon sai nijaat de
tujhai sochna mera mashghala
tujhai dekhna meri aarzoo
mujhai din dai apnai khayal k
mujhai apnai qurb ki raat de
main akela bhatkon Kahan Kahan
ye safer bauhat taweel hai
meri zindagi merai saath chal
merai hath main apna hath de!!
humne b kse se piyar kia tha
thora nae beshamar kia tha
humari tu duniya he badal geye
jab us na Kaha arey pagal
me na srf mazak kiya tha
*~*~*TUM NE POOCHA*~*~*

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch Kahay to,
muskura ker anjan ban jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!
aankhein masroof ho jati hain, bhula dete hain log
Kahaniyan mashoor ho jati hain,bhula dete hain log......

ye kya manjar he yaaro
koi marta he to jala dete he log

humse nahi he kuch gila to bato
kyun ruswa kar jate he log

ye sab to kismato ka khel he
varna Kahan juda hona chahate he log

hum tum rahe sada dost
ye bhi to dekh nahi pate he log
Kuch Kahain to tauheene hasti hai
Kaisi ajab yeh dunya ki basti hai
Maree ko tu dain kandha sabhi
Magar zindagi raham ko tarasti hai
KahaN A DOST CHALTE JA RAHE HO
BAHOOT AAGE NIKELTE JA RAHE HO

CHALE JAOW MAGAR YEH TO BATAOW
YEH RESTE KION BADALTE JA RAHE HO.
Sabne Kaha Dosti ek dard hai,
Humne Kaha dard kabul hai,

sabne Kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
humne Kaha teri dosti ke sath marna kabul hai...
Asman ko need aaye to kahna sulaau Kahan Dharti ko maut aaye to dafnao
Kahan Sagar mein lehar aaye to chupao Kahan Jab teri yaad aye to jau
Kahan!!!
Sun li jo khuda nay wo dua tum to nahin ho
Darwazay pay dastak ki sada tum to nahin ho

Simti hoye, sharmae hoye, raat ki rani
Soye hoye kalyon ki haya tum to nahin ho

Mehsos kiya tum ko to geeli hoye palken
Bheegi hoye mosam ki ada tum to nahin ho

In ajnabi rahon main nahin koye bhi mera
Kis nay mujhe yon apna Kaha tum to nahin ho
Kahan aa kar rukay thay rastay..Kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai
guzarta hoa saal jesy bhi guzra
magar saal k akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi janazon ki lambi qitarain
Kahan tak koi dekh paey?

hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,asar e hazir ka maseeha Kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___