Kaha SMS Messages1166 messages

Kaha us ne bharosa Dil pe etna nai krte

Kaha mene Muhbt me kabi socha nai krte

Kaha us ne khush rang duniya k nazary he

Kaha mene jb Tm ho Hm kuch dehka nai krte

Kaha us ne mai tm se door hu lakin tmhare hu

Kaha mene k sapno se dil ko behlaya nai krte

Kaha us ne tmhari chahat tmhe ruswa kr dy ge

Kaha mene shohart se gahbraya nai krte

Kaha usne samjh jao meri jaan samjh jao

Kaha mene Diwano ko samjhaya nai krte.
Usney Kaha mujh sey kitna pyar hai, mainey Kaha

Setaroon ka bhi koi Shumar hai.

Usney Kaha kon tumhain sub se azeez hai,

mainey Kaha Dil pe jiska Ikhteyar hai.

Usney Kaha kon sa tohfa mein tumhein do,

mainey Kaha wohi Sham jo Udhar hai.

Usney Kaha saath kab tak nebhao gay,

mainey Kaha jitnee Sanson ki raftar hai.

Usney Kaha mujh ko yaqeen aye kaise,

mainey Kaha mera Naam "AITBAR" hai..
Mila wo b nhi kartymila hm b nhi kartyWafa wo b nhi kartywafa hum b nhi kartyUnhain ruswai ka dhuk hyhamy tanhai ka dhuk hyGila wo b nhi kartygila hum b nhi kartykisi moor pr takrao ho jata hy aksrRuka wo b nhi kartyruka hum b nhi kartyJb b daikhty hai unheysochty hy kuch kahey un sysuna wo b ni krtyKaha hm b ni krtyLakn ye b sach hy kMohabt uny b hy Mohabt hamy b hyBola wo b nhi krtyBola hm b nhi krty
muhabbat jhoot lagti hay mujhay
ik khookhla jazba
jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo
Kahay janay ki
sunanay ki
jisay her pal zaroorat hoo
"mujhay tum say muhabbat hay"
na janay rooz kitnay loog
is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain
ye aisa jhoot hay jis ka sehr
sadioo''n say tari hay
magar janaa''n
muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay
koi tum say ager kahday
"mujhay tum say muhabbat hay"
to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay
muhabbat aks ban jaye
to phir tum ko yaqee''n aye
k main nay sach Kaha tum say
muhabbat rooh ban jaye
to phir us ka yaqee''n kerna
wagerna aik jumla koi kitni baar duhraaye
Kahay jayee

nahi sunnuna
muhabbat jhoot hay janaa''n
ager izhaar ki is ko zaroorat hoo
khuwab k phoolo ki tabeere Kahani ho gayen khoon thanda pr gya ankhen purani ho gayen Jis ka chehra tha chamkte mousamo ki AArzoo uski tasweren bhi aur aankhe khizani ho gayen dil bhr aaya kagaz khali ki surat dekh kar Jinko likhna tha wo sub batain zubani ho gayen Jo muqadar tha usay to rokna bus me na tha unka kya karte Jo batain na gahani ho gayen Reh gya dil me rang yaad e raftagan phool mehnge ho gaye qabrain purani ho gayen . . .
mein roi tu nahi hoon"
na jana kyon mera kaajal
jab bhi dalo ankh mein
ab aksar phale jata hai
mein roi tu nahi hoon......


tum tu janatay ho in dinoon
boht hi thand hoti hai
tab hi hai naak surkh mere
mein roi tu nahi hoon........


Kaha tu hai youn hi bus
bheega hai anchal k kona
choro tum fikar mat keroo
mein roi tu nahi hoon.......


nahi,odass kab hoon mein?
ziada kaam k bays
thaka-wat ho hi jati hai
mein roi tu nahi hoon..........


eid aye hai , wo ab bhi
nahi ata tu na ay
ab is ki yadd mein dekho
mein roi tu nahi hoon........


bata dena is ko ja ker
kahin khoosh-fahmi na koi palay
waisay hi surkh hain ankhain
mein roi tu nahi hoon..........
mujhay forsat he forsat hay ..
sawairay jald othna hay
na shab ko dair say sona
Kahain baher nahe jana
kissi say bhe nahe milna
na koi fiker laahaq hay
na koi YAAD baqi hay


mugar yai akhree misraa
zara sa jhot lagta hay
tumhain jana zarori hay .........
chalo phir is terhan ker lo
tum apnay rastay ho lo
naae manzil koi dhondoo
naae dunya basaao tum
mujhay kuch dair rukna hay
yahan kuch kam kernay hain
yahan yadain hain kuch mairee
wo kuch beetay howay lumhay
wo anchal say giray thay ju
bikher ker dor tuk
mujhko paraishan ker rahay hain ju
unhain ik jaah kerna hay
Kahain par dafun kerna hay
muhabbat kee qaber per ik naya qotbaa lagana hay
phir is kai bad mujhko lout jana hay
ab itnay kam hain janaa
tumhain jaldi hay tum jao
mujhay kuch waqt lag na hay
yai mah-o-saal hon shayad
ya shayad hon kaee sadyaan
tu phir kub tuk yahan baithee raho gi tum
Kabhi is nagar tujhe dekhna
kabhi us nagar tujhe dhondna

kabhi raat bhar tujhe soochna
kabhi raat bhar tujhe dhondna

mujhe ja ba ja teri justujo
tujhe dhond-ta ho mein ko ba ko

Kaha khul saka tere ro ba ro
mera is qadar tujhe dhondna

mera khawab tha k khayal tha
wo urooj tha k zawal tha

kabhi farsh pe tujhe dekhna
kabhi arsh pe tujhe dhondna

teri yaad aie to roo dia
jo tu mil gaya tujhe kho dia

mere silsily bhi ajeeb hain
tujhe chor kar tujhe dhondna
Phir chaand niklaa, Phir raat thami



Phir dil ne Kaha, Hai teri kami



Phir yaad k jhonkay mehak gaye



Phir pagal armaa behak gaye



Phir dil ne Kaha, Hai teri kami



Phir guzray lamhon ki baatein



Phir jaagi jaagi si raatein



Phir tehar gayi palkOn pe nami



Phir dil ne Kaha, Hai teri kami
Maine Kaha ke mere liye kuch DUA kiya karo
Us ne Kaha ke DUA pe na takiya kiya karo
Maine Kaha ke zahen pe rehta hai bojh sa
Us ne Kaha ke chhup ke kahin roya karo

Maine Kaha ke tere khuwaab jaga dete hain
Us ne Kaha ke raat ko socha na karo
Maine Kaha ke raat ko neend nahi aati
Us ne Kaha ke sone ki koshish kiya karo

Maine Kaha ke dost nahi denge saath mera
Us ne Kaha ke waqt pe yeh tajarba kiya karo
Maine Kaha ke Dil main teri yaadein hain
Us ne Kaha ke Dil ko samjhaya karo

Maine Kaha ke tere milne ki umeed hai
Us ne Kaha ke umeed na umeed bhi hoti hai
Maine Kaha ke tumhari Ankhen meri Ankhen hongi
Us ne Kaha ke chalo phir meri Ankhon main raha karo...
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat Kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.