Na puch mere sabar

Na puch mere sabar
Na puch mere sabar ki inteha kaha tak hai,

tu sitam kar le teri takat jahan tak hai,

wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,

hume to dekhna hai tu bewafa kahan tak hy
  

Jun, 07 2010     172 chars (2 sms)     8858 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Her ek roop me sajne lage ho..

Baharoon ki Rut Main Nikharne Lage Ho..

Irada Na Karna Bicharne Ka Ab Tum.

Kyoun k Ab Apny Apny Se Lagne Lage Ho..
SHKAYAT HAI YEH MERI KISMAT SE MUJHKO ..

MILAYA HI KYUN JAB BICHARNA THA TUJHKO ...

JOH ISMEH NAH SAMAJH SAKAY AZAKE KOI TUJH KO...

IS PATHAR KI DUNIYAAN SE NAFRAT HAI MUJHKO ...
Na Chand Na Tare
Bas Dekhe To Aapki Aankhen
In Aankhon Mein Doob Jaana Hai
Aur Pyar Ki Lehron Ko Paar Kar Jaana Hai!
mein ne samjha ''THA''sumandar tum ko,

''THA''ka mutlab tu tumhain aata ho ga..
Kitni ratein beet gai,

Kitne din beet gaye,

Bus beeta nahi to

Yadon ka wo pal,

Wo guzra hua kal,

Beeti nahi to aankhon ki nami

aur AAP KI kami.
Wo meri Ankh ka Sapna hai agar wo Smjhy
Wo meri Zaat ka Hissa hai agr wo Samjhy,

Ho nai skti juda phool se Khushboo Jesy
Sath hamary b kuch aisa hi agr wo Samjhy,
Mere Hathon Ki Lakeeroon ma Ya Aib Chupa Hai, Mohsin...!

K Jis Cheez Ko Cholun Wo Mere Nahi Rehti...!
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Ameen
jo bhi aave hai nazdeek hee bethey hai terey,
hum kahan tak terey pehlu se khisaktey jaavein...

(aap ko meri poetry kaisi lagi,, rply zrur kijiye ga...)
Ik Khwab Hay Or Isko Khona Bhi Nahi Hay
Tabeer K Dhagay Main Pirona Bhi Nahi Hay

Lipta Howa Hay Dil Se Kisi Raz Ki Soorat
Who Shaks K Jisko Mera Hona Bhi Nahi Hay

Ye Ishq-E- Mohabbat Ki Rivayat Bhi Ajeeb Hay
Paya Nahi Hay Jisko Usay Khona Bhi Nahi Hay

Jis Shaks Ki Khatir Mera Ye Hal Howa Hay
Usko Meray Marnay Pey Rona Bhi Nahi Hay
Mera Pyar Mujhse Dur Hai.

Mera Dil Is Waqt Milne Ko Majbor He

Idhar Ham Tadpe Udhar Vo Tadpe

Shayad Yahi Mohabbat Ka Dastoor he
Khafa hona mana lena

Ye sadiyon ki riwaayat hai

Muhabbat ki alaamat hai

Gilay shikwey karo mujh se

Tumhein iss ki ijazat hai

Magar ik baat meri yaad rakhna

Hawaein rukh badlti hain

Khizayein lout aati hain

Khatayein ho hi jati hai

Khafa hona bhi mumkin hai

Khata hona bhi mumkin hai

Magar yoon haath se daaman churaya nahi karte

Taluk root janey se kabhi toota nahi kartey.