us nay meray seenay per sir rekh ker poocha
Jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay mil saktay hain sabhi sitaray
daryaon k saray moti
sawan ki pehli barish k saray qatray
ujlay chand ki sari kirnain
dharti k seenay sa liptay sabhi khazanay
saray mousam sabhi duayen
phoolon ki rangeen qabayen
patti patti pernay wali bheeni shabnam
ism-e-azam
us nay meray seenay pe sir rekh k poocha
Jana! apnay jeevan ka wo lamha tu batlao muj ko
jis k badlay sub kuch apna,sub kuch,sub kuch
apna sub kuch day saktay ho
ma nay us ka maatha chooma or bola jub
pehli bar meray seenay pa tum nay apna sir rakha tha