Jana SMS Messages694 messages

tumhi ko dekhte rehna,
tumhi ko chahte rehna,
tumhi ko sochte rehna,
tumhi ko sunte rehna,
buhat gehre khayalon main,
jawabon main,
sawalon main,
muhabat ke hawalon main,
tumara naam a Jana mujhe acha sa lagta hai,
tumhare sang sang chalna,
wafa ki aag main jalna,
tumhein naraz kar dena,
kabhi khud bhi rooth Jana,
tumhari berukhi pe bhi tumhari arzu karna,.
khud apne dil ki dharkan se tumhari guftago karna
mujhe acha sa lagta hai. .........
*~*~*TUM NE POOCHA*~*~*

tum ne poocha k,
dukh kia hota hai,
to suno,
aisa kern
kabhee kisi ko chahna,
or chahtey hee rehna,
din bhar us ko sochtey hee rehna,
jagtee ankhoon se us k sapney
dekhtey hee rehna,
apney haathon ki lakeeron mein us ka
naam tarashtey hee rehna,
or jab kabhee woh,
in riazaton ka hisaab mangney ko,
saamney aaye to,
tum ana ka haath thaam lena,
agar woh kuch kahay to,
muskura ker anjan ban Jana,
or jab woh mayoos ho ker laut jaye to,
apney ander jhaankna,
or khud se poochna,
tub tumhara dil
tumhein bata day ga k,
dukh kisey kehtey hain,
dukh kia hota hai... .. . !!!!!!
Tera saath mil jaaey tou sab dukh bhool jaaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

nichaawar khawaab kar doon gi terey har ishaarey par
kabhi peepal ki chaaon main kabhi nadiya kinaarey par
tumhain thandak ataa kar doon gi ik basaat ki manend
bikhartey chaand jharnoon main ujalti raat ki manend

mujhey tum se muhabbat hai main logoon ko bataaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi

main chaahon gi tumhain Janaan umangon se ujaalon tak
khudi ke dasht se le kar naey janmon ke saalon tak
Meri thandi si tanhaae sulagti raat jaisee ho
mujhey bas saath le jao bhaley baraat jaisee ho

tmharey surkh jorhey main hi dulhan ban ke aaon gi
woh kehti thi ke har soorat tumhain banaaon gi
Chor k Tum ko Janay wala

Ik Din looat k aye to

Yaad ka Anchal Khushboo ban kar

Phir Tum per Lehraaye to

Koi Purana Zakhm Kuraiday

Meetha Dard Jagaaye to

Guzray Pal ka Dilkash Sapna

Ankhoon mein bas jaye to

Dil per Zakhm laganay wala

Marhum lay kar aye to

Maaan ka Sheesha tornay wala

Phir se Jornay aye to

Dhoop mein chor k Janay wala

Saya ban k aye to

Dil se Dil ki raaye na poochoo

Dil pagal ho jaye to

Chor k Tum ko Janay wala

ik din loat k aye to?????
Dard mein bhi yeh lab muskura jatay hain
Beetay lamhay hamein jab bhi yad aatay hain
Chand lamhat k wastay hee sahi
muskura kar mili thi mujhay zindagi
Teri agosh mein din thay meray katay
teri bahon mein thi meri ratein kati
Aj bhi jab woh pal mujh ko yad atay hain
dil say saray ghamon ko bhula jatay ahin
Meray kandhay pay sir ko jhukana tera
Meray seenay mein khud ko chhupana tera
Aa k meri panahon mein sham o sahar
Kanch ki tarah woh toot Jana tera
Aj bhi jab woh manzar nazar atay hain
dil ki veeranion ko mitta jatay hain
koi waqt purana yad aya koi dard suhana yad aya,
aur chalk se in deewaron per kuch likh kar Jana yad aya,
tera milna neem ki chaon mein aur sir rakh dena kandhe pe, mera ye kehna koi dekh na le tera wo ghabrana yad aya,
sakhiyon k jhurmat mein tera paani bharne Jana,
mera dekh k tuj ko hans dena tera wo sharmana yad aya,
kabi aisa b hota tha main tuj ko chorne jata tha,
jub wapis aane lagta tera wo hath hilana yad aya,
beeghe kapron, beeghi zulfon, nange paon,
barsaat ki beeghi raton mein tera milne aana yad aya,
wo waqt gya lamhe beetay ab her taraf tanhai hai,
wo ik hai manzar ankhon mein tera wo chor k Jana yad aya
Tum lautay ho aaj...

To kaii bay-naam aa''nsu...

Apni shanaakht bhool gaey hai''n...

Mujh say bichharr rahay hai''n...

K mujh may koi sakat nahee''n...

Ab rauknay ki in ko...

Pooray jisam ka shaur kuch thham sa gaya hay...

Karb may mubtelaa mairi her saa''ns...

Kuch sukoon ki aahai''n bhar rahi hay...

Janaa''n tum aaj lautay ho...

To pal may kitna kuch badal gaya hay...

Ab rooth k phir na jaana...

K ab aa''nsuo''n ko bhi manaana parrta hay...!
us se duur Janay ka irada na tha
sada sath rehnay ka b wada na tha

woh yaad na karein ge,yeh jante the hum
per itne jaldi bhool jaein ge, yeh andaaza na tha
Imtihaan ke chaar din hote hai mahobbat Janam-Janam tak chalti,meri zindege main aaye ho bahaar bankar tum yoohi rahna pyaar-pyar bankar..........
Tum ney samja he nahi mari chahat ko kabi
Tum ney chaha he nahi mari muhabat ko kabi
Sochta hoon main jaan leeta tumhey
Main ney perkha nahi tari fittrat ko kabi
Mana ik umar kati yadoon main chaltey hoey
Wo marasam na rahey rahoon pe chaltey hoey
Ab hey tanhaian aur perchaian baki
Ho gey ham sey juda wo hamsafar marey sathi
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhey
Main ney Jana hee nahi tari hasrat ko kabi
Ye safar piyar ka tanha kat“ta hee nahi
Koi bee per hoo dil machalta hee nahi
Tum ko maloom hey tum dulruba hamarey they
Piyar ke rahoon main tum hamsafar hamarey they
Sochta hoon ke main jaan leeta tumhain
Main ney socha hee nahi tari ulfat ko kabi
guzarta hoa saal jesy bhi guzra
magar saal k akhri din
nehayat kathan hain
har ik simat lashon k ambaar
zakhmi Janazon ki lambi qitarain
kahan tak koi dekh paey?

hawaon main barood ki baas
khod aman ki noha khwan hay
koi chara gar,asar e hazir ka maseeha kahan hay!

mery milnay walo
naey saal ki muskurati subh .....gar hath aey
tu milna
k jaty hoay saal ki sa,aton main
yeah bujhta hoa dil
dhadakta tu hay

muskurata nahi
DECEMBER mujhy raas ata nahi___
Abhi Jo Tum Laut Ker Phir Tum
Humare Dar pe Aaye Ho
Ye Tum Se Keh Dia Kis Ne
K Tum Bin Reh Nahi Sakte
Ye Dukh Hum seh Nahi Sakte
Kaha Tum Se Kis Ne k
Hum Tum Bin Bohat Roye
Kai Raato''n Ko Na Soye
Suno. . ! ! !
Tum Sun Lo Gaur Se
Agar
Beetay Huey Lamho''n Ko
Tumne Wapis Lana Hai
Humari Zindagi ain Humain
Wapis Bulana Hai
Mujhe Afsos Hai Jana''n
K Tum Mayoos Lauto Ge
Agar Tum Jan''na Chaho K Aisa
Kion Kia Hum Ne
Ye Gham Seh Lia Hum Ne
TOU SUNO GAU SE Jana''N
Puraani Ehad-e-Rafta Ki Riwayat
Tor Di Hum Ne

"MOHABBAT CHORH DI HUM NE" . . .