Jana SMS Messages694 messages

mujh se vaqif to mere jism ka saya bhi na tha
kaise ho jata tumhara main Khud apna bhi na tha,
jitana mayus hai vo shaKhs bichar kar mujh se
itnii shiddat se to main ne use chaaha bhi na tha,
jaise ilzam lagaye hain mere sar us ne
aisi nazaron se to main ne use dekhaa bhi na tha
merii aavaaz kaa Gham shahar ne Jana kaise
main to us bhiid main Khamosh tha bola bhi na tha......!!!!
Dukh fasana nahi k tujh se kahen,
aur dil b mana nahi k tujh se kahen,

ab FARAZ apna bhi us gali mein,
aana Jana nahi k tujh se kahen.
"ZINDAGI"

Baray dukh bharay hain Jana meri zindgi k lamhe
gar ho sakay to sunna meri dastan khudara

na mil sak athikana meri bekraryoon ko
kahin ro k raat kati kahin ro k din guzara.
Jab bhi qareeb aata hoon batanay k liye
Zindagi door rakhte hai satanay k liye


MehfilOn ki shaan na samajhna mujhay
Main to hansta hoOn gham chupanay k liye



In faaslOn ko na samjho meri be-Wafayi
Main door hoon tumse, paas aanay k liye



Mat jano haqeeqat mere in AansuOn ko
Main to roota hoon tumhein rulanay k liye


Koi gila nahi hai mujhay apni barbadi ka
Main to khail tha ho aag se jal Janay k liye



Ab duniya kuch bhi kahay, mujhay parwa nahi
Main to jeeta tha zindagi, mar Janay k liye
KIS KO SUNAOON HAAL DIL-E-BEQARAR KA
BUJHTA HUA CHARAGH HUN APNE MAZAR KA
AE KAASH BHOOL JAON MAGAR BHOOLTA NAHI
KIS DHOOM SE UTHA THA JanaZA PYAR KA
Main Thak Gayi Hoon Jana''n
Kandho''n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino''n Ki Yaadai''n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khari Hui Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana''n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto''n Se Bhar Chuke Hain
Kanto''n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo. . . !
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri Pehchaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
Kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur Kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Main Tum Main Fana Hoon Imaan K Badle
Tum Do Ge Mujhe Kia Meri Pehchaan k Badle

Ye Hanste Huey Logo''n Ka Bazar Hai Jana''n
Kuch Bhi Na Miley Ga Dil-e-Weeran K Badle

Wo Shaks Meri Jaan Bhi Le Lega Khushi Se
Aur Kuch Bhi Nahi Dega Meri Jaan K Badle
Hum safar ban key hum saath hain
aaj bhi
phir bhi hai ye safar aJanabi aJanabi

Raah bhi aJanabi mord bhi aJanabi
jayein ham kidhar aJanabi aJanabi

Zindagi ho gai hai sulagata safar
door tak aa rahaa hai dhuaan saa nazar

Jaane kis mord par kho gai har Khushii dey key dard-e-jigar aJanabi aJanabi

Hum ney chun chun ke tinke banaaya tha jo

aashiyaan hasaraton se sajaayaa tha jo

Hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhi lag raha hai magar aJanabi aJanabi

Kis ko maalom tha din ye bhi aayeinge mausamon ki tarhan dil bhi bada jaayeinge

Din hua aJanabi raat bhi aJanabi
har ghari har pahar aJanabi aJanabi
Agar hum door ho jayen

kahin dunia mein kho jayen

btao kya kro gay tum?

Hamain dhondo gy ya Phir bhol jao gay?

Humain awaz dogay?
ya,ksi guzri kahani mein hmara naam likh do gay?
Chalo aisa hi karna tm
Badal Jana,
hamy tm bhol hi Jana
Mgr itni guzarish hy
Hmara zikar jab aye
zra sa yad kar lena!
Bebasi Jurm hai honsla Jurm hai
Zindgi teri ik ik adah Jurm hai

Aye sanam tere barey kuch sooch ker
Apney barey mai kuch soocha jurm hai

Yaad rakhna tujey mera ik jurm tha
Bhool Jana tujey mera doosra jurm hai

Kya sitam hai key tere haseen shahar mai
Har taraf ghoor sey dheikhna jurm hai


Bebasi Jurm hai honsla Jurm hai
Zindgi teri ik ik adah Jurm hai
Tere Pyaar Mein Rusva Hona Kitna Acha Lagta Hai,
Qadam Qadam Par Thokar Khana Kitna Acha Lagta Hai

Roo Leta Hoon Hans Leta Hoon Tere Aane Jane Par,
Tera ghar Mein Aana Jana Kitna Acha Lagta Hai

Main Apna Fasaana Khud Hi Kehta Sunta Rehta Hoon
Achi Yaadon Ka Duhrana Kitna Acha Lagta Hai

Tere Hi Raste Par Chalna Teri Hi Manzil Ko Jana,
Tera Hi Har Dam Gun gana Kitna Acha Lagta Hai

Jin Chashmon Ka Paani Dil Duniya Seerab Kare,
Un Chashmon Ka Paani Peena Kitna Acha Lagta Hai

Sab Logon Ki Batein Sun na Aur Chup Rehna,
Us kai Khatir Har Dukh Sehna Kitna Acha Lagta Hai

Yun To Duniya Mein Sab Batein Hoti Rehti Hain
Laikin Kuch Batoon Ka Hona Kitna Acha Lagta Hai