Jana SMS Messages694 messages

Chalo Tum Sath Mat Daina..


Mujhy Beshak Bhula Daina..


Naye Sapnay Sja Laina..


Naye Rishtay Bana Laina..


Bhula Daina Sabhi Waday..


Sabhi Qasmain Sabhi Natay..


Tumhain Jana Ijazat Hy..


Jo dil Chahay Wo Sab Krna..


Magar Ab Tum Kisi Sy Bhi..


Anokha Pyar Mat Karna..
Na Janay Kub Say Ho Gay Itnay Shiddat Psand Hum Ali.



Jab Tk Zakham Na Khayain Tassali Nehi Hoti.
Apni yaden, apni batain lay ker Jana bhool gaya,
Janay wala jaldi main tha, mil ker Jana bhool gaya,

Mur, murr ker dekha tha usnay jatay rastay main,
Jesay usnay kehna tha kuch, jo wo kehna bhol gaya,

Waqt-e-rukhsat meri ankhain ponch raha tha anchal se,
usko gham tha itna ziyadah, khud wo roona bhool gaya
Tumhen Wapis bhi Jana tha,
Kabhi tum ne ye Socha ha?
Kisi ki sochti sada si Aankhon mein,
Udasi ki tahreer tum ne mita Dali,
Dhanak sapnon ka phir se jaal sa ek bun diya un mein,
Magar Janan!
Zara Socho....
Agar is baar bhi sapnay kisi ne toor Dale to,
Wo in ki kircheyan sari ki sari,
apni Palkon mein chupa le gi,
Tum aisa kuen nahi kartay,
Abhi se us ko batla do
Tumhen Wapis bhi Jana hay.
Haseen kitna zeyada ho gaya
Woh jab se aur sada ho gaya

Chalo hum bhi mohabbat kar hi leen ge
Agar us ka irada ho gaya

bhula doon ga use agle Janam tak
Mera us se yeh wahda ho gaya

Ghari bhar us ki aankhon main utar kar
Samandar bhi kushada ho gaya

Bicharne ka use bhi dukh hay shayad
K ab to woh bhi adha ho gaya
Tum nay apnay pehlay khat main
apna pehla khawab lihka tha
khwahish ki pehli barish main
khud ko khilta phool lihka tha
lakin tum nay pehlay khat main
anJanay say khauf main a ker
yai kyon lihka?
khawab adhoray reh jatay hain
khawahish pori kab hoti hay
sari khusboo ur jati hay
phool akhir murjha jatay hain
Wo kehti hai k mujhay tum say muhabbat nahi
Tu batao phir
Wo mujhay apni rooh mein utarti kyou hai?
Wo mujhay apnay andar samati kyou hai?
Meray Janay par roti kyou hai?
Mein rooth jaon manati kyou hai?
Tu batao phir
Kya yeh muhabbat ki nishani nahi?
Kya wo mujh say muhabat karti nahi?
Mehkti Hui Sard Raaton K San''naton Me,
Kanpte Paton Ki Halki Halki Sarsarahton Me,
Mujhe Apna Wajood Bhi Aadhaa Sa Laga,
Tere Baghair......
Is Lamhe Me Ne Jana k,
Meri Saari Khushian Bhi Adhoori Hen,
Tere Baghair.....!!!
Ye zaat firqay ka tu ik bahan tha
Usay tu youn bhi hamein chor Jana tha
Hum us k aik ghar ko apna samajhty rahay laikin
Us ka tu har morr par aashiyana tha
Yeh us ka qasoor nahi wo majboor tha shayad
K uski fitrat mein hee dil dukhana tha
Mujh ko talab thii faqat uski chahat ki
Aur uski tu chahat hee sara zamana tha
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN

dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN

us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat Janaab aaNkhoN meN

kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN

ko’ii rahtaa thaa raat din “Alvi”
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN
Sara hi shehar us k Janazey main tha shareek,
Tanhaiyon k khoof se jo shakhs mar gaya....!
Tanha udaas shamo main
ab kiyun phira karoon main
mujhe bhool Janay walay
tujhe yaad kia karoon main..