Mehkti Hui Sard Raaton K

Mehkti Hui Sard Raaton K
Mehkti Hui Sard Raaton K San''naton Me,
Kanpte Paton Ki Halki Halki Sarsarahton Me,
Mujhe Apna Wajood Bhi Aadhaa Sa Laga,
Tere Baghair......
Is Lamhe Me Ne Jana k,
Meri Saari Khushian Bhi Adhoori Hen,
Tere Baghair.....!!!
  

Jun, 01 2010     228 chars (2 sms)     2661 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mein mar jao yeh us ki
dua hai...

FARAZ

Or us ki har dua kabool ho
yeh meri dua hai...
naaz karne ka tujhe haq hai..

hum jese dost bhi muqaddar se milte hain..
Unke chehre pe is kadar noor hai
k unki yaad mein rona bhi manzoor hai
bewafa bhi nahin keh sakte unko
pyaar to humne kiya, wo to bekasoor hai-Hassan
meri gurbat ne uraya hay mere fun ka mazaq.

teri dolat ne tere aeb chupa rakhay hain...
chiraagoon say agar andherey door hoty to chand ki chahat kise hoti,,,,,

akeley zindagi agar cut jaati to pyaar sirf naam ki cheez hoti.............
apna ''jism''mat tarash,isay mitti men hi jana hai,

apni''rooh''ko tarash ae ibn-e-aadam,isay ALLAH k pass jana hai...
tum sab jo meri baat suno
ik kissa tumhein sunaata hoon
ye kissa nahi zamanay ka
ye kissa hai parwaanay ka
jo pal pal jeeta marta tha
jo pyar bohot hi karta tha
har baat usay maloom to thi
ek baat magar wo bhula betha
shamma ko haasil karnay mein
khud apna aap ganwa betha
youn ishq ki had se guzarnay mein
parwanay k jal marnay mein
ab jaagti hai na soti hai
shamma ab har pal roti hai
aik arse se yeh aankhain soee nahi
hansi nahi
roee nahi
milli nahi
khoee nahi
ek baat thi dil main
jo tum se kabhi kahee nahi
TUM JAISA KOI NAHI
Kaun is raah se guzarta hai
Dil yun hii intazaar kerta hai

Dekh ker bhi na dekhny walay
Dil tujhe dekh dekh Derta hai

Shehar-e-gul mein kati hai sari raat
Dekhiay din kahan guzerta hai

Dheyan ki seeriyon pe pichly pehar
Koi chupky sy paun dherta hai

Dil to mera udaas hai ''Sameer''
Shehar kyun sayein sayein kerta hai..
apane chehre se jo zaahir hai chhupaaye’n kaise
terii marzii ki mutaabik nazar aaye’n kaise
u sne milne k lye bulya bhi to ajeeb raste ka intkhaab kya"ami"

rukta tha tu paon pe chubte thy kante chalta tha tu dman ko pakrthy thy kante..
Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka... ;->