Dost SMS Messages1114 messages

Barson k baad Dekah ek Shakhs Dil-Ruba sa,
Ab Zehn mai nahi hai per Naam tha Bhala sa

Ubroo khinche khinche se, Aankhein Jhuki Jhuki si,
Baatein ruki ruki si, Lehja thaka thaka sa

Alfaaz they k, Jugnoo Awaaz k safar mai,
Ban jaye Jangalon mai jis tarah Rasta sa

Khuwabon mia Khuwab us k, Yaadon mai Yaad uski,
Neendon mai ghull gaya ho, jese k Rat-jaga sa

Pehley b Log aaye kitne hi Zindagi mai,
Wo her tarah se lekin Auron se tha Juda sa

Agli Mohabbaton ne wo Na-Muraadiyan di,
Taza Rafaqaton se Dil tha Dara Dara sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hai,
Dil Ka Dard Kisse Dikhaaye,

Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hai,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,

Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,

Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,

Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,

Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge
kuch yon teray wajood mein gum ho gaya hon mein tere nazar say apna pata pochta hon mein sukh teray jaloo mein to dukh meray sath thay aa Dost pir b dekh zinda raha hon mein Pathar aanso, chasham-e-tar reza reza yani ham bikhren hokar reza reza aainay mein akas tera mujood raha aainay say mein bahar reza reza
Mujh say meray chaak-i-guraybaan ka haal pochtay ho
kyun meray Dostoun ki bewafai ka aahwaal pochtay ho,

num hoti hoein ankhain labu pay bikhri muskurahath
bikhray baaloun urtti rangat ka ahwal pochtay ho?

mein nay gham k sitaar pay hath rakhay hain
rundhi aawaz k geet ka kya sur-taal pochtay ho

chirrak k namak meray nasoor pay aa Dost tum
perham k aser pay hua kya mera haal pochtay ho

qerya qerya bikhrri hain meri ruswaiyoun ki dastaain
jo meray yaar nay chali hai mujh say woh chal pochtay ho

maan khushiyaan sab lay ker tum aa Dost
tum "Duaa" say khali hathu ka sawal pochtay ho
zakham_e_tanhai mein khushboo_e_hina kiss ki thi
saya dewaar pe mera tha sada kiss ki thi

oss ki raftaar se lipti rahi meri ankhiein
oss ne mur kar be na dekha ke wafa kiss ki thi

waqt ki tarah dabey paoon ye kon aya hai
mein andhera jisey samja wo qaba kiss ki thi

ansoo se hi sahi bhar gaya daman mera
haath toh mein ne uthaye the doua kiss ki thi

meri ahoon ki zuban koi samajta kesey
zindagi itni dukhi mere siwa kiss ki thi

agg se Dosti oss ki thi jala ghar mera
di gayi kiss ko saza aur khata kiss ki thi

mein ne binaiyaan bo kar be andhere kaatey
kiss ke bus mein thi zameen abr_o_hawa kiss ki thi
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai Dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai Dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
Tum bhi khafaa ho log bhii beraham hain Dosto
ab ho chalaa yaqiin ke bure ham hain Dosto

kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kare.n
aankhen to dushmanon kii bhii pur nam hain Dosto

apane sivaa hamaare na hone kaa gam kise
apanii talaash men to ham hii ham hain Dosto

kuchh aaj shaam hii se hai dil bhii bujhaa bujhaa
kuchh shahar ke chiraag bhii maddham hain Dosto

is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
ab dil kii raunaqen bhii koii dam hain Dosto

sab kuchh sahii ''SaaMer'' par itanaa zaruur hai
duniyaa men aise log bahut kam hain Dosto
"FIRQ SIRF ITNA SA HE"
TERE DOLI UTHI,
MERE MAYAT UTHI,
PHOOL TUJH PER BHI PARY,
PHOOL MUJH PER BHI PARY,
TU SAJ KE GAI,
MUJHE SAJAYA GAYA,
TU UTH KE GAI,
MUJHE UTHAYA GAYA,
SAHELIAN TERE BHI THI,
Dost MERE BHI THAY,
MEHFIL WAHAN BHI THI LAG YAHN BHI THE,
UUN KA HASNA WAHAN ,
IN KA RONA YAHAN,
DO BOL TERE PARHE,
DO BOOL MERE PERHE,
TERE NIKAH PERHAYA GAYA MERE JANAZA PADHAYA GAYA,
TUJHAY APNAYA GAYA,
MUJY DAFNAYA GAYA,
""FIRQ SIRF ITNA SA HE ""
Kabhi rootha nahe kartay....
sono aissa nahe kartay....
jinay pana na ho aasan
aunhain soucha nahe kartay....
jinain shab bhar tarapna ho
kabhi soyya nahe kartay.......
zara se batt par ay..Dost.......
youn he royya nahe kartay....!!!!
AGar HuM Dost HoTaY To
KaRaM Ki InTehA KarTaY
TumhaiN PaLkoN PaY RakhTaY HuM
TumhaiN DiL MaiN BaSaTaY HuM

AGar TuM RooTh JaTaY To
TuMhain KiTna ManaTaY HuM
Jo MiLnaY TuM Nahi AaTaY
To Aa Kar KhuD TumhaiN MilTaY


TumhaRi LaghZishoN Ko Bhi
HanSi MaiN HuM Ura DaiTaY
AGar Apni KhaTa HoTi
To KhuD Ko Bhi Saza DaiTaY


MaGar Yeh Sab Jabhi HoTa
AGar HuM Dost HoTaY
MaGar ITna Hi Jana HaI
K TuM NaY Aaj Tak HuM Ko


ParaYa Keh Kar Jana HaI
KaBhi HumDuM Naa Mana HaI
AGar HuM Dost HoTaY To.....
Khushbu teri Dosti ki muje mehka jati hai.
Teri har baat mujhe behka jaati hai,
Saas to bohut dair leti hai aane me…
har saas se pehle Teri yaad aa jati hai
Lehron se milkar na woh beh sake na hum,
ek duje ke Dil me na woh reh sake na hum,
jeet lete Aasma ek din lekin, palkon ke khamoshi ko
hoto se na woh keh sake na hum
Hum jee rahe the unka naam lekar,
wo guzarte the hamara salaam lekar,
ek din wo keh gaye bhula de humko,
humne pucha kaise?
wo chale gaye hath mein jaam dekar