Dost SMS Messages1114 messages

Ye Dosti chirag hai isey jalaye rakhna,
Ye Dosti gul hai isey khilaye rakhna,
Hum rahey na rahey is jahan mein,
Bas hamari yaad dil me basaye rakhna.....
Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Dost ko bhula deta hai.
dard kafi hai zindagi ke liye
maut zaroori hai zindagi ke liye
kaun marta hai kiske liye
hum toh zinda hai sirf app jaise Dost ke liye
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
Apno se juda ho kar, kaun zinda rahta hai,
Sanse chalti hain magar dil,
Hamesha zindagi se khafa rahta hai,
Jo dil mein ho wo Dost,
Durr ho kar bhi kareeb hote hain,
Mere yaar insaan umeedon par hi zinda rahta hai.
DostI TO SIRF ITTEFAQ HAI,
YEH TO DILON KI MULAKAAT HAI,
DostI NAHIN DEKHTI YEH DIN HAI KE RAAT HAI,
ISME TO SIRF WAFADAARI AUR JAZBAAT HA
Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri Dosti se pehley
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley
Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley
Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley
bhool gaya hai yeh dil .. khushiyon ke mehfil sajaana..
jaise bhool gaye hai hum ke.. ek waada tha nibhaana..
ek waada Dosti ka.. ek waada bandagi ka.. ek waada zindagi ka ....
kaash woh karde hamaari is khata - e - muhabbat ko....
yaa phir jal jaaye hum is bewafa dil ke angaaron mein ....
kaash yeh tanhaayiya nahin laati yaadein un ki....
tho na likhte hum unke yaadon mein .....
na is dil mein un ke liye pyaar hota ...
na hamein yeh shab-e-gham ka intzaar hota .......
Kabhi jo maazi main jhankoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kisi lamhe kuch jo sochoge
Tumhain hum yaad aayenge
Kabhi yun hi akele main
beet-e- dino ko soch ker
Koi geet jo gungunaoge
Tumhain hum yaad aayenge
Sab Doston ki mehfil main
Kisi shokh si baat per
zer-e-lab jo muskuraoge
Tumhain hum yaad aayenge
Zindagi ke kisi morr per
Apne Dil ki baat ko
Kisi se keh na paoge
Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Larhzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
Youn toh guzar raha hai har aik pal khushi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath


rishtey,wafaein Dosti sab kuch toh pass hai
kiya baat hai pata nahi dil kiun udaas hai

har lamha hai haseen naye dilkashi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

chahat bhi hai sakoon bhi hai dilbar bhi hai
aankhon mai khuwab bhi hai labon pai hasi bhi hai

dil ko nahi hai koi shikayet kisi k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath

socha tha jaisa waisa hi jevan toh hai magar
ab aur kis talash mai bey chein hai nazar

qudrat ki toh meharbani hai darya-dili k saath
phir bhi koi kami si hai kiun zindagi k saath
Kya sarokaar ab kisi se mujhe
Waasta tha to tha tujhi se mujhe

Behisi ka bhi ab nahin ehsaas
Kya hua teri berukhi se mujhe

Maut ki aarzoo bhi kar dekhun
Kya ummeedein thi zindagi se mujhe

Tera gham bhi na ho to kya jeena
Kuch tasalli hai dard hi se mujhe

Kar gaye kis qadar tabaah Zia''
Dushman andaaz e Dosti se mujhe...