Mere dukh kii koii davaa

Mere dukh kii koii davaa
Mere dukh kii koii davaa na karo
Mujh ko mujh se abhii judaa na karo

Naakhudaa ko khudaa kahaa hai to phir
Duub jaao, khudaa khudaa na karo

Ye sikhaayaa hai dostii ne hamen
Dost banakar kabhii wafaa na karo

Ishq hai ishq, ye mazaak nahiin
Chand lamhon men faisalaa na karo

Ashiqii ho ya bandagii ''Sameer''
Be-dilli se to ibatidaa na karo
  

Jun, 05 2010     355 chars (3 sms)     2423 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tarap k dekho kisi ki chahat mein

To pata chale k intezar kya hota hai

yun he mil jaye koi bina chahe

to kaise pata chale k PYAAR kya hota hai
"Is umeed ko kabhi tootane mat dana,,
"Dil ka rishta kam hone mat dana,,

"kayi pyar milenge mjh sy bhi achay,,

"Bas meri jagah kisi ko lene mat dana"
hAr chnd k hum Akhlaas ka Daawa nhi krte



Hum se milo Gay to Hamain mukhlas paoge
Tanhayian jaane lagi zindagi muskurane lagi,
Naa din ka pata hai naa raat kaa pata.
Aap ki dosti ki khushboo hume mehkaane lagi,
Ek pal to karib aa jao dhadkan bhi awaaz lagane lagi..
koi dukh na ho
koi gham na ho
koi ankh kabi num na ho
koi dil kisi ka toray na
koi sath kesi ka choray na
bus pyar ke nadiya bahti ho
kash k dunya asi ho!!!
Kabhi subha hogi na shaam hogi

ashi koi kahani mare naam hogi

saahil ki mooj ka kiya pata

raat pey likhi tahreer gumnaam hogi

chalte rahay hain bas younhi

jane apni manzil ki gaam hogi

her ati saans per hoti hai subha

koun jane kab zindagi ki shaam hogi

tum mujhay jitna kureidoo gay

mari metti utni hi kaam hogi

jee raha hoon is umeed per main

tare dar pay zindagi ki shaam hogi

jis ki yaad main jitay hain hum

yeh zindagi bas us k naam hogi.
Milain Aik Bar To Sada Yaad Rahain
Zamany Main Aisy Bhe Kuch Log Hain Abhi
Meri aankho me apna chehra dekh lo,
yaha aaino ka bazar nahi hai,
in labo pe hamesha muskan rakhna,
yaha aansuo ka koi khrid dar nahi hai.
mahobbat me mene kya kuchh nahi luta diya?mahobbat me mene kya kuchh luta nahi diya?unko pasand thi roshni!!or mene khudko hi jala diya.....
aaj hum unhe bewafaa bata kar aaye hai,
unke khato ko pani mein baha kar aaye hai,
koi nikaal kar padh na le unhe,
isliye pani mein bhi aag laga kar aaye hai
Teri dosti hum iss tarah nibahein ge
Tum roz khafa hona hum roz manaien ge
Per suno,
maan jana manane se
Warna bheegi palkein le kar kahan jaien ge.
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey